Aaye To Yun Ki Jaise Hamesha The Mehrban; Bhule To Yun Ki Goya Kabhi Aashna Na The! |
Baat Bas Se Nikal Chali Baat Bas Se Nikal Chali Hai; Dil Kee Halat Sambhal Chali Hai; Jab Junoon Had Se Badh Chala Hai; Ab Tabiyat Behal Chali Hai; Ashk Khoonaab Ho Chale Hain; Gham Kee Rangat Badal Chali Hai; Ya Yun Hi Bujh Rahi Hain Shamayein; Yaa Shab-e-Hizr Tal Chali Hai; Lakh Paigam Ho Gaye Hain; Jab Saba Ek Pal Chali Hai; Jao, Ab So Raho Sitaro; Dard Kee Raat Dhal Chali Hai! |
Dono Jahaan Teri Dono Jahaan Teri Mohabbat Mein Haar Ke; Wo Ja Raha Hai Koei Shab-e-Gham Guzaar Ke; Veeran Hai Maykada Khum-o-Sagar Udas Hain; Tum Kya Gaye Ki Rooth Gaye Din Bahar Ke; Ik Fursat-e-Gunaah Mili, Wo Bhi Chaar Din; Dekhe Hain Humne Haunsle Parwaradigaar Ke; Duniya Ne Teri Yaad Se Began Kar Diya; Tum Se Bhi Dilfareb Hain Gham Rozgar Ke; Bhule Se Muskura To Diye The Wo Aaj 'Faiz'; Mat Puch Valvale Dil-e-Nakardkaar Ke! |
Subah Phuti To Wo Pehlu Se Utha Aakhir-e-Shab; Wo Jo Ik Umr Se Aaya Na Geya Aakhir-e-Shab; Yaad Ka Phir Koi Darwaza Khula Aakhir-e-Shab! |
Dil Mein Ab Yun Tere Bhule Hue Dil Mein Ab Yun Tere Bhule Hue Gham Aate Hain; Jaise Bichhade Hue Kabe Mein Sanam Aate Hain; Ik Ik Kar Ke Hue Jaate Hain Tare Roshan; Meri Manzil Kee Taraf Tere Kadam Aate Hain; Raqs-e-May Tez Karo, Saaz Kee Lai Tez Karo; Su-e-Maikhana Safiraan-e-Haram Aate Hain; Kuch Humin Ko Nahi Ehsan Uthane Ka Dimag; Woh To Jab Aate Hain Mail-ba-Karam Aate Hain; Aur Kuch Der Na Guzare Shab-e-Furqat Se Kaho; Dil Bhi Kam Dukhata Hai Woh Yaad Bhi Kam Aate Hain! |
Marne Ke Baad Bhi Meri Aankhein Khuli Rahin; Aadat Jo Padh Gayi Thi Tere Intezar Kee! |
Naseeb Aazmane Ke Din Naseeb Aazmane Ke Din Aa Rahe Hain; Kareeb Un Ke Aane Ke Din Aa Rahe Hain; Jo Dil Se Kaha Hai Jo Dil Se Suna Hai; Sab Un Ko Sunane Ke Din Aa Rahe Hain; Abhi Se Dil-o-Jaan Sar-e-Raah Rakh Do; Ki Lutne Lutaane Ke Din Aa Rahe Hain; Tapakne Lagi Un Nigaahon Se Masti; Nigahein Churane Ke Din Aa Rahe Hain; Saba Phir Humein Puchti Phir Rahi Hai; Chaman Ko Sajane Ke Din Aa Rahe Hain; Chalo 'Faiz' Phir Se Kahin Dil Lagyein; Suna Hai Thikaane Ke Din Aa Rahe Hain! |
Kahan Tak Sunegi Raat Kahan Tak Sunayein Ge hum; Shikwe Sare Sab Aaj Tere Rubaru Karein! |
Woh Aa Rahe Hain Woh Aate Hain Aa Rahe Honge; Shab-e-Firaq Yeh Keh Kar Guzaar Di Hum Ne! |
Dono Jahaan Teri Mohabbat Mein Dono Jahaan Teri Mohabbat Mein Haar Ke; Woh Jaa Raha Hai Koi Shab-e-Gam Guzaar Ke; Veeraan Hai Maikada Khum o Sagar Udaas Hain; Tum Kya Gaye Ki Rooth Gaye Din Bahaar Ke; Ik Fursat-e-Gunaah Mili Wo Bhi Chaar Din; Dekhe Hain Hum Ne Haunsle Parwardigaar Ke; Duniya Ne Teri Yaad Se Baigana Kar Diya; Tujh Se Bhi Dil-Fareb Hain Gam Rozgaar Ke; Bhule Se Muskura To Diye The Woh Aaj 'Faiz'; Mat Puch Valvale Dil-e-Naa-Karda-Kaar Ke! |