Hum Ne Sab Sher Mein Sanware The; Hum Se Jitne Sukhan Tumhare The; Rang-o-Khusbhu Ke Husn-o-Khoobi Ke; Tum Se The Jitne Istiare The; Tere Kaul-o-Karar Se Pehle; Apne Kuch Aur Bhi Sahare The; Jab Wo Laal-o-Gohar Hisab Kiye; Jo Tere Gham Ne Dil Pe Vaare The; Mere Daaman Mein Aa Gire Saare; Jitne Tasht-E-Falak Mein Taare The; Umar-E-Jaaved Kee Dua Karte; 'Faiz' Itne Wo Kab Hamare The! |
Zindagi Kya Kisi Muflis Ke Qabaa Hai Jis Mein; Har Ghadi Dard Ke Paiband Lagaye Jate Hain! |
Na Gul Khile Hain Na Un Se Mile Na Mai Pee Hai; Ajeeb Rang Mein Ab Ke Bahaar Guzri Hai! |
Bane Hain Ahal-E-Hawas Muddai Bhi Munsif Bhi; Kise Vakeel Karein Kisse Munsifi Chaahen! |
Tumhari Yaad Ke Jab Zakhm Bharne Lagte Hain; Kisi Bahane Tumhein Yaad Karne Lagte Hain; Hadis-e-Yaar Ke Unavan Nikharane Lagte Hain; To Har Harim Mein Gesu Sanwarne Lagte Hain; Har Ajnabi Humein Mehram Dikhai Deta Hai; Jo Ab Bhi Teri Gali Se Guzarne Lagte Hain; Saba Se Karte Hain Gurbat-Nasib Zikr-e-Vatan; To Chashm-e-Subah Mein Aansu Ubharne Lagte Hain; Wo Jab Bhi Karte Hain Is Nutq-o-Lab Kee Bakhiyagari; Faza Mein Aur Bhi Nagme Bikharne Lagte Hain; Dar-e-Qafas Pe Andhere Kee Mohar Lagti Hai; To 'Faiz' Dil Mein Sitare Utarane Lagte Hain! |
Kab Ta Dil Kee Khair Manayein Kab Tak Raah Dikhlaoge; Kab Tak Chain Kee Mohlat Doge Kab Tak Yaad Naa Aaoge; Beeta Deed Umeed Ka Mausam Khak Udti Hai Aankhon Mein; Kab Bhejoge Dard Ka Baadal Kab Barkha Barsaoge; Ahd-E-Wafa Ya Tark-E-Mohabbat Jo Chaho So Aap Karo; Apne Bas Kee Baat Hi Kya Hai Hum Se Kya Manwaoge; Kis Ne Vasl Ka Suraj Dekha Kis Par Hijr Kee Raat Dhali; Gesuon Wale Kaun The Kya The Un Ko Kya Jatlaoge; 'Faiz' Dilon Ke Baag Mein Hai Ghar Bharnaa Bhi Lut Jana Thi; Tum Is Husn Ke Lutf-o-Karam Par Kitne Din Itraoge! |
Kar Rahaa Tha Gham-e-Jahaan Ka Hisaab; Aaj Tum Yaad Behisaab Aaye! |
Dil Mein Ab Yun Tere Dil Mein Ab Yun Tere Bhule Hue Gham Aate Hain; Jaise Bichhde Hue Kaabe Mein Sanam Aate Hain; Ek Ek Kar Ke Hue Jaate Hain Taare Roshan; Meri Manzil Kee Taraf Tere Kadam Aate Hain; Raqs-e-Mai Tez Karo Saaz Kee Lai Tez Karo; Su-e-Mai-Khana Safeeran-e-Haram Aate Hain; Kuch Humin Ko Nahi Ehsan Uthane Ka Dimag; Wo To Jab Aate Hain Mail-Ba-Karam Aate Hain; Aur Kuch Der Na Guzre Shab-e-Furqat Se Kaho; Dil Bhi Kam Dukhta Hai Wo Yaad Bhi Kam Aate Hain! |
Hairan Hai Jabeen Aaj Hairan Hai Jabeen Aaj Kidhar Sajda Ravaa Hai; Sar Par Hain Khudavand Sar-e-Arsh Khuda Hai; Kab Tak Ise Seenchoge Tamanna-e-Samar Mein; Ye Sabr Ka Pauda To Na Phula Na Phala Hai; Milta Hai Khiraj Us Ko Teri Naan-e-Javin Se; Har Baadshah-e-Waqt Tere Dar Ka Gadaa Hai; Har Ek Uquubat Se Hai Takhi Mein Sava-Tar; Wo Rang Jo Na-Karda Gunahon Kee Saza Hai; Ehsaan Liye Kitne Maseeha-Nafson Ke; Kya Kijiye Dil Ka Na Jala Hai Na Bujha Hai! |
Kabhi Kabhi Yaad Mein Ubharte Hain Naqshe Mazi Mite Mite Se; Wo Aazmaish Dil O Nazar Kee, Wo Kurbatein Si, Wo Fansle Se; Kabhi Kabhi Aarzoo Ke Sehra Mein Aake Rukte Hain Kafile Se; Wo Sari Baatein Lagav Kee Si, Wo Sare Unvaan Visal Ke Se! |