Khayal-e-Yaar Kabhi Zikr-e-Yaar Karte Rahe; Iss Mata Pe Hum Rozgaar Karte Rahe! Khayal-e-yaar: Thoughts of the beloved Zikr-e-yaar: Talks of the beloved Mata: Merchandise, goods Rozgaar: Livelihood |
Gaah Jalti Hui Gaah Bujhti Hui; Shama-e-Gham Jhilmilati Rahi Raat Bhar! Gaah: Sometimes Shama-e-Gham: The lamp of sorrow |
Na Tan Mein Khoon Faraham Na Ashq Aankhon Mein; Namaz-e-Shauk To Waajib Hai, Be-Wazoo Hi Sahi! Faraham: Present Ashq: Tears |
Aadmiyon Se Bhari Hai Yah Sari Duniya Magar; Aadami Ko Aadami Hota Nahin Hai Dastyaab! |
Yeh Ajab Qayamatein Hain Teri Rahguzar Mein Guzari; Na Ho Ke Mar Mittein Hum, Na Ho Ke Jee Uthein Hum! |
Utth Kar To Aa Gaye Hain Teri Bazm Se Magar; Kuch Dil Hi Jaanta Hai Ki Kis Dil Se Aaye Hain! |
Tum Aaye Ho, Na Shab-e-Intezar Guzri Hai, Talash Mein Hai Sahar, Baar, Baar Guzri Hai; Junoon Mein Jitni Bhi Guzri Bekar Guzri Hai, Agarche Dil Pe Kharabi Hazaar Guzri Hai; Woh Baat Sare Fasane Mein Jiska Zikr Na Tha, Woh Baat Un Ko Bahut Nagavar Guzri Hai; Na Gul Khile Hain, Na Un Se Mile Hain, Na Mai Pi Hai, Ajeeb Rang Mein Ab Ke Bahaar, Guzri Hai; Chaman Pe Gharat-e-Gulchin Se Jane Kya Guzri, Qafas Se Aaj Saba Be-Qarar Guzri Hai! |
Hum Musaafir Yun Hi Masroof-E-Safar Jaayen Ge, Be-Nishaan Ho Gaye Jab Shehar To Ghar Jaayen Ge; Kis Kadar Hoga Yahan Mehr-O-Wafa Ka Maatam, Hum Teri Yaad Se Jis Roz Utar Jaayen Ge; Jauhri Band Kiye Jaate Hain Bazaar-E-Sukhan, Hum Kise Bechne Almaas-O-Gauhar Jayen Ge; Nemat-E-Zeest Ka Yeh Karz Chukega Kaise, Laakh Ghabra Ke Yeh Kehte Hain Rahen Mar Jaayen Ge; Shayad Apna Bhi Koi Bait Hudi-Khvan Ban Kar, Saath Jaaye Ga Mere Yaar Jidhar Jaayen Ge; Faiz Aate Hain Rah-E-Ishq Main Jo Sakht Maqaam, Aane Walon Se Kaho Hum To Guzar Jaayen Ge! |
Na Jaane Kis Liye Umeed-Vaar Baitha Hun, Ek Aisi Raah Pe Jo Teri Rahguzar Bhi Nahi! |
Aaye To Yun Ki Jaise Hamesha The Meharban; Bhule To Yun Ki Goya Kabhi Aashna Na The! |