Khayal-e-Yaar Kabhi Zikr-e-Yaar Karte Rahe; Iss Mata Pe Hum Rozgaar Karte Rahe! Khayal-e-yaar: Thoughts of the beloved Zikr-e-yaar: Talks of the beloved Mata: Merchandise, goods Rozgaar: Livelihood |
Gaah Jalti Hui Gaah Bujhti Hui; Shama-e-Gham Jhilmilati Rahi Raat Bhar! Gaah: Sometimes Shama-e-Gham: The lamp of sorrow |
Na Tan Mein Khoon Faraham Na Ashq Aankhon Mein; Namaz-e-Shauk To Waajib Hai, Be-Wazoo Hi Sahi! Faraham: Present Ashq: Tears |
Aadmiyon Se Bhari Hai Yah Sari Duniya Magar; Aadami Ko Aadami Hota Nahin Hai Dastyaab! |
Utth Kar To Aa Gaye Hain Teri Bazm Se Magar; Kuch Dil Hi Jaanta Hai Ki Kis Dil Se Aaye Hain! |
Na Jaane Kis Liye Umeed-Vaar Baitha Hun, Ek Aisi Raah Pe Jo Teri Rahguzar Bhi Nahi! |
Kar Rahaa Tha Gham-e-Jahaan Ka Hisaab; Aaj Tum Yaad Behisaab Aaye! |
Aaye To Yun Ki Jaise Hamesha The Mehrban; Bhule To Yun Ki Goya Kabhi Aashna Na The! |
Subah Phuti To Wo Pehlu Se Utha Aakhir-e-Shab; Wo Jo Ik Umr Se Aaya Na Geya Aakhir-e-Shab; Yaad Ka Phir Koi Darwaza Khula Aakhir-e-Shab! |
Marne Ke Baad Bhi Meri Aankhein Khuli Rahin; Aadat Jo Padh Gayi Thi Tere Intezar Kee! |