Doston Ko Bhi Mile Dard Ki Daulat Ya Rab; Mera Apna Hi Bhala Ho Mujhe Manzoor Nahi! |
Koi Chara Nahi Dua Ke Siwa; Koi Sunta Nahi Khuda Ke Siwa! |
Wafaon Ke Badle Jafa Kar Rahe Hain; Main Kya Kar Raha Hun Woh Kya Kar Rahe Hain! |
Ahl-e-Zubaan Toh Hai Bahut; Koi Nahin Hai Ahl-e-Dil! |
Dekha Jo Teer Kha Ke Kami-Gaah Ki Taraf; Apne Hi Doston Se Mulaqaat Ho Gayi! |
Jahan Katre Ko Tarsaya Geya Hun; Wahin Dooba Hua Paya Geya Hun; Ba-Haal-e-Gham-Rahi Paya Geya Hun; Haram Se Deir Mein Laya Geya Hun; Balaa Kaafi Na Thi Ek Zindagi Kee; Dobara Yaad Pharmaya Geya Hun; Ba-Rang-e-Lala-e-Veerana Bekaar; Khilaya Aur Murjhaya Geya Hun; Agarche Abr-e-Gauhar-Baar Hun Main; Magar Aankhon Se Barsaya Geya Hun; 'Hafeez' Ahal-e-Zubaan Kab Maante The; Bade Zoron Se Manvaya Geya Hun!! |
Jahan Katre Ko Tarsaya Geya Hun; Wahin Dooba Hua Paya Geya Hun; Ba-Haal-e-Gham-Rahi Paya Geya Hun; Haram Se Deir Mein Laya Geya Hun; Balaa Kaafi Na Thi Ek Zindagi Kee; Dobara Yaad Pharmaya Geya Hun; Ba-Rang-e-Lala-e-Veerana Bekaar; Khilaya Aur Murjhaya Geya Hun; Agarche Abr-e-Gauhar-Baar Hun Main; Magar Aankhon Se Barsaya Geya Hun; 'Hafeez' Ahal-e-Zubaan Kab Maante The; Bade Zoron Se Manvaya Geya Hun! |
Kyon Hijr Ke Shikwe Karta Hai Kyon Dard Ke Rone Rota Hai; Ab Ishq Kiya To Sabr Bhi Kar Is Mein To Yahi Kuch Hota Hai; Aaghaz-e-Musibat Hota Hai Apne Hi Dil Kee Shaamat Se; Aankhon Mein Phool Khilaata Hai Talvon Mein Kaante Bota Hai! |
Hai Ishq Bhi Junoon Bhi, Masti Bhi Josh-e-Khoon Bhi; Kahin Dil Mein Dard, Kahin Aah Sard, Kahin Rang Zard; Hai Yun Bhi Aur Yun Bhi; Lo Phir Basant Aayi, Phoolon Mein Rang Layi! |
Kyon Hijr Ke Shikwe Karta Hai Kyon Dard Ke Rone Rota Hai; Ab Ishq Kiya To Sabr Bhi Kar Is Mein To Yahi Kuch Hota Hai! |