Badan Ke Donon Kinaron Se Jal Raha Hun Main; Ki Chhu Raha Hun Tujhe Aur Pighal Raha Hun Main! |
Tum Parindon Se Zyada To Nahi Ho Azaad; Shaam Hone Ko Hai Ab Ghar Ki Taraf Laut Chalo! |
Hoshiyari Dil-e-Nadan Bahut Karta Hai; Ranj Kam Sehta Hai Elaan Bahut Karta Hai! |
Tum Suno Ya Na Suno Haath Badhao Na Badhao; Doobte Doobte Ek Baar Pukarenge Tumhein! |
Utho Ye Manzar-e-Shab-Taab Dekhne Ke Liye; Ki Neend Sharat Nahi Khwab Dekhne Ke Liye! *Manzar-e-Shab-Taab: Scene of bright night |
Raat Ko Jeet To Paata Nahi Lekin Ye Charag; Kam Se Kam Raat Ka Nuksaan Bahut Karta Hai! |
Ab Is Ke Baad Ghane Junglon Kee Manzil Hai; Yeh Waqat Hai Ki Palat Jayein Humsafar Mere! |
Tum Suno Ya Na Suno Haath Badhao Na Badhao; Doobte Doobte Ek Bar Pukarenge Tumhein! |
Sukhan Mein Rang Tumhare Sukhan Mein Rang Tumhare Khayal Hi Ke To Hain; Ye Sab Karishme Hawa-e-Visaal Hi Ke To Hain; Kaha Tha Tumne Ki Aata Hai Kaun Ishq Kee Taab So Hum Jawab Tumhare Sawal Hi Ke To Hain; Zara Si Baat Hai Dil Mein, Agar Bayan Ho Jaye; Tamaam Masle Izahar-e-Haal Hi Ke To Hain; Yahan Bhi Iske Siwa Aur Kya Naseeb Humein; Khutan Mein Reh Ke Bhi Chashme-Gizaal Hi Ke To Hain; Hawaa Kee Zad Pe Hamara Safar Hai Kitni Der; Charaag Hum Kisi Sham -e-Zawal Hi Ke To Hain! |
Ret Par Thak Ke Gira Hun To Hawa Puchti Hai; Aap Iss Dasht Mein Kyon Aaye The Vahshat Ke Bagair! |