Ja Aur Koi Zabt Ki Duniya Talash Kar; Ai Ishq Hum To Ab Tere Kaabil Nahi Rahe! |
Tasveer Ke Do Rukh Hain Jaan Aur Gham-e-Jaana; Ik Naqsh Chupana Hai Ik Naqsh Dikhana Hai! |
Barabar Se Bach Kar Guzar Jaane Wale; Yeh Naale Nahi Be-Asar Jaane Wale; Nahi Jaante Kuch Ki Jaana Kahan Hai; Chale Ja Rahe Hain Magar Jaane Wale! |
Betabiyan Samet Ke Sare Jahaan Kee; Jab Kuch Na Ban Saka To Mera Dil Bana Diya! |
Woh Hazar Dushman-e-Jaan Sahi Phir Bhi Mujhe Aziz Hai; Jise Khak-e-Paa Teri Chu Gayi, Woh Bura Bhi Ho To Bura Nahi! |
Soz Mein Bhi Wahi Ik Nagma Hai Soz Mein Bhi Wahi Ik Nagma Hai Jo Saaz Mein Hai; Fark Nazdeeq Kee Aur Door Kee Aawaz Mein Hai; Ye Sabab Hai Ki Tadap Seena-e-Har-Saaz Mein Hai; Meri Aawaz Bhi Shamil Teri Aawaz Mein Hai; Aashiqon Ke Dil-e-Majrooh Se Koi Puche; Wo Jo Ik Lutf Nigah-e-Galat-Andaaz Mein Hai; Gosh-e-Mushtaq Kee Kya Baat Hai Allaah-Allaah; Sun Raha Hun Main Jo Nagma Jo Abhi Saaz Mein Hai! |
Aankhon Mein Bas Ke Dil Mein Samaa Kar Chale Gaye; Khwabida Zindagi Thi Jagaa Kar Chale Gaye; Chehre Tak Aasteen Wo Lakar Chale Gaye; Kya Raaz Tha Ki Jis Ko Chipakar Chale Gaye! Meaning: Khwabida = Sleepy |
Ja Aur Koi Zabt Ki Duniya Talash Kar; Ai Ishq Hum To Ab Tere Kaabil Nahi Rahe! |
Aa Ki Tujh Bin Iss Tarah, Ai Dost Ghabrata Hun Main; Jaise Har Shai Mein Kisi Shai Kee Kami Paata Hun Main! |
Itne Hijaabon Par To Yeh Aalam Hai Husn Ka; Kya Haal Ho Jo Dekh Lein Parda Uthaa Ke Hum! |