Mehrbaan Hokey Bulaalo Mujhey Chaaho Jis Waqt: Main Geya Waqt Naheen Hoon Ki Phir Aa Bhee Na Sakoon! |
Surma-e-Muft-e-Nazar Hoon, Meri Qeemat Yeh Hai; Ke Rahe Chashm-e-Khareedaar Pe Ehsaan Mera! |
Ghalib Bura Na Maan Jo Vaiz Bura Kahe; Aisa Bhi Koi Hai Ke Sab Acha Kahein Jisse! |
Basa Dete Nahin Aur Dil Pe Hai Har Lahza Nigah; Ji Mein Kahte Hein Ke Muft Haath Aaey, Tau Maal Achha Hai! Translation He has his eyes on my heart, but doesn't yield a kiss; The stuff is good, he seems to think, if it comes gratis! |
Agar Apna Kaha Tum Aap Hi Samjhe Tau Kya Samjhe; Maza Kahne Ka Jab Hai, Ik Kahe Aur Doosre Samjhein; Kalaam-e-Mir Samjhe, Aur Zabaan-e-Meerza Samjhe; Magar Inn Ka Kaha, Ya Aap Samjhein Ya Khuda Samjhe! |
Zindagi Uski Jiss Ki Mout Pe Zamaana Afsos Karay, Ghalib; Youn To Har Shaks Aata Hai Iss Dunia Main Marney Ke Liye! |
Toote Hain Sheesha Dil Haaye Dil Itne Ke Ehl-e-Dard; Rakhte Hain Paaon Khaak Par Sau Baar Dekh Kar! |
Tu Wo Zaalim Hai Jo Dil Mein Reh Kar Bhi Mera Na Ban Saka, Ghalib; Aur Dil Wo Kafir Jo Mujh Mein Reh Kar Bhi Tera Hogaya! |
Hum Ne Mohabbat Ke Nashe Mein Aa Kar Use Khuda Bana Dala; Hosh Tab Aaya Jab Us Ne Kaha Ke Khuda Kisi Ek Ka Nahi Hota! |
Hazaron Khwahishen Aise Ke Har Khawahish Pe Dum Nikle; Bahut Nikle Mere Armaan, Lekin Phir Bhe Kam Nikle! |