Inkaar Ki Si Lazzat, Iqrar Main Kahan Hai; Badhta Hai Ishq Mohsin Unn Ki Nahi Nahi Se! |
Hum Se Bewafai Ki Inteha Kya Puchte Ho Mohsin; Woh Hum Se Pyaar Seekhta Raha Kisi Aur Ke Liye! |
Kaun Kehta Hai Nafraton Mein Dard Hai Mohsin; Kuch Mohabbatein Bhi Badi Aziyat Naak Hoti Hain! |
Use Pana Use Khona, Usi Ke Hijr Mein Rona; Yehi Gar Ishq Hai 'Mohsin' To Hum Tanha Hi Achhe Hain! |
Abhi Kamsin Ho, Rehne Do, Kahin Kho Dogi Dil Mera; Tumhare Hi Liye Rakha Hai, Le Jaana Jawaan Ho Kar! |
Wohi Wehshat, Wohi Hairat, Wohi Tanhai Hai 'Mohsin'; Teri Aankhein Mere Khwabon Se Kitni Milti Julti Hain! |
Ye Keh Gaye Hain Musafir Lute Gharon Wale, Dare Hawa Se Parinde Khule Paron Wale; Ye Mere Dil Kee Hawas Dasht-e-Be-Karan Jaisi, Vo Teri Aankh Ke Tevar Samandaron Wale; Hawa Ke Haath Mein Kaase Hain Zard Patton Ke, Kahan Gaye Vo Sakhi Sabz Chadaron Wale; Kahan Milenge Vo Agle Dino Ke Shehzade, Pahan Ke Tan Pe Libaade Gada-Garon Wale; Pahadiyon Mein Ghire Ye Bujhe Bujhe Raaste, Kabhi Idhar Se Guzarte The Lashkaron Wale; Unhi Pe Ho Kabhi Nazil Azaab Aag Ajal, Vahi Nagar Kabhi Theharen Pyambaron Wale; Tere Supurd Karun Aaine Muqaddar Ke, Idhar To Aa Mere Khush-Rang Pattharon Wale; Kisi Ko Dekh Ke Chup Chup Se Kyon Hue 'Mohsin', Kahan Gaye Vo Iraade Sukhan-Varon Wale! |
Tere Khyaal Mein Kuch Aise Gum Raha Barson; Main Apne Aap Se Bhi Mil Nahin Saka Barson; Kahin Woh Zaaiqa Tehleel Hi Na Ho Jae; Main Tum Se Mil Kar Kisi Se Nahi Mila Barson; Kaha Tha Tum Ne Ke Tum Laut Ke Aaoge Ek Din; So Main Jahaan Tha Wahin Par Khada Raha Barson; Tere Baghair Meri Umar Raayegaan Guzri; Koi Bhi Kaam Nahin Theek Se Hua Barson; Tumhare Haath Kee Dastak Kee Aaas Mein 'Mohsin'; Main Apne Ghar Se Kahin Bhi Nahin Geya Barson! |
Itni Muddat Baad Itni Muddat Baad Mile Ho; Kin Socho Mein Gum Rahate Ho; Tez Hawaa Ne Mujh Se Puchaa; Ret Pe Kya Likhte Rehte Ho; Kaun Si Baat Hai Tum Mein Aisi; Itne Achchhe Kyon Lagte Ho; Hum Se Na Poocho Hijr Ke Qisse; Apni Kaho Ab Tum Kaise Ho! |
Jab Se Usne Shehar Ko Chhoda Har Raasta Sunsaan Hua; Apna Kya Hai Saare Shehar Ka Ek Jaisa Nuksaan Hua! |