Abhi Kamsin Ho, Rehne Do, Kahin Kho Dogi Dil Mera; Tumhare Hi Liye Rakha Hai, Le Jaana Jawaan Ho Kar! |
Jab Se Usne Shehar Choda Har Raasta Sunsan Hua; Apna Kya Hai Sare Shehar Ka Ek Jaisa Nuksan Hua; Ye Dil Ye Aaseb Kee Nagri Maskan Sochun Vehmon Ka; Soch Raha Hun Is Nagri Mein Tu Kab Se Mehman Hua! |
Wohi Wehshat, Wohi Hairat, Wohi Tanhai Hai 'Mohsin'; Teri Aankhein Mere Khwabon Se Kitni Milti Julti Hain! |
Ret Par Likh Kar Mera Naam Ret Par Likh Kar Mera Naam Mitaya Na Karo; Aankhein Sach Bolti Hain Pyaar Chupaya Na Karo; Log Har Baat Ka Afsaana Banaa Lete Hain; Sab Ko Rudaad-e-Gham-e-Ishq Sunaaya Na Karo; Yeh Zaroori Nahi Har Shaks Maseeha Hi Ho; Pyaar Ke Zakham Amaanat Hain Dikhaya Na Karo; Shehar-e-Ehsaas Mein Pathraao Bahut Hai 'Mohsin'; Dil Ko Sheeshe Ke Jharokon Mein Sajaaya Na Karo! |
Mere Qatil Ko Pukaro Ki Main Mere Qatil Ko Pukaro Ki Main Zinda Hoon Abhi; Phir Say Maqtal Ko Sanwaro Ki Main Zinda Hoon Abhi; Yeh Shab-e-Hijar To Sathi Hai Meri Barsoon Say; Jao So Jao Sitaro Ki Main Zinda Hoon Abhi; Yeh Pareshan Say Gaisu Dekhe Nahi Jate; Apni Zulfun Ko Sanwaro Ki Main Zinda Hoon Abhi; Lakh Moujoun Mein Ghira Hun, Abhi Dooba To Nahi; Mujh Ko Sahil Say Pukaro Ki Main Zinda Hoon Abhi; Qabar Say Aaj Bhi 'Mohsin' Kee Aati Hai Sada; Tum Kahan Ho Mera Yaroo Ki Main Zinda Hoon Abhi! |
Maza Deti Hain Unko Zindagi Kee Thokrein 'Mohsin'; Jinko Naam-e-Khudaa Le Kar Sambhal Jaane Kee Aadat Ho! |
Issi Khayaal Se Guzri Hai Shaam-e-Dard Aksar; Ke Dard Hadh Se Jo Guzre Ga Muskuraa Doon Ga! |
Mere Qaatil Ko Pukaro Kay Mere Qaatil Ko Pukaro Kay Main Zinda Hoon Abhi; Phir Say Maqtal Ko Sanwaro Kay Main Zinda Hoon Abhi; Yeh Shab-E-Hijar To Sathi Hai Meri Barson Say; Jao So Jao Sitaro Kay Main Zinda Hoon Abhi; Yeh Pareshaan Say Gaisu Daikhay Nahi Jatay; Apni Zulfun Ko Sanwaro Kay Main Zinda Hoon Abhi; Laakh Moujon Main Ghira Hun, Abi Dooba To Nahi; Mujh Ko Sahil Say Pukaro Kay Main Zinda Hoon Abhi; Qabr Say Aaj Bhi `Mohsin` Ki Aati Hai Sadaa; Tum Kahan Ho Mere Yaroo Kay Main Zinda Hoon Abhi! |
Wohi Wehshat, Wohi Hairat, Wohi Tanhai Hai 'Mohsin'; Teri Aankhien Mere Khawabon Se Kitni Milti Julti Hain! |
Jin Ko Toofan Se Ulajhne Ki Aadat Ho Mohsin; Aisi Kashti Ko Samandar Bhi Duaa Dete Hain! |