Tum Par Beete Gi Toh Tum Bhi Jaan Jaoge Mohsin; Koi Nazar Andaz Kare Toh Kitna Dard Hota Hai! |
Aaj Badi Der Tak Woh Mohabbat Dikhata Raha Mohsin; Na Jane Kyun Laga Ke Woh Mohabbat Chhod Jaega! |
Tere Khyaal Mein Tere Khyaal Mein Kuch Aise Gum Rahaa Barson; Main Apne Aap Se Bhi Mil Nahin Saka Barson; Kahin Woh Zaaiqa Tehleel Hi Na Ho Jae; Main Tum Se Mil Kar Kisi Se Nahi Mila Barson; Kaha Thaa Tum Ne Ke Tum Laut Ke Aaoge Eik Din; So Main Jahaan Thaa Wahin Par Kharha Raha Barson; Tere Baghair Meri Umar Raayegaan Guzri; Koi Bhi Kaam Nahin Theek Se Hua Barson; Tumhare Haath Ki Dastak Ki Aaas Mein Mohsin; Main Apne Ghar Se Kahin Bhi Nahin Gyaa Barson! |
Daman-e-Gull Mein Daman-e-Gull Mein Hi Gulzaar BiKhar Jaate Hain; Aag Bujhti Hai To Angaar Bikhar Jaate Hain; Shama Jalti Hai Sada Ek Hi Lamhe Me Lekin; Jal Ke Parwaane Kayi Baar Bikhar Jaate Hain; Jin Ko Insaan Pirota Hai Bahut Ulfat Se; Haaye Woh Gull Sar-e-Bazaar Bikhar Jaate Hain; Paaon Uthate Hain Tere Koche Ki Jaanib Jab Bhi; Apni Raahon Me Kayi Khaar Bikhar Jaate Hain; Raat Ke Pichle Pehar Kehoon-e-Tamanna Ki Tarha; Hum Teri Yaad Mein Ay Yaar Bikhar Jaate Hain; Ho Ga Andaaz-e-Wafa Un Ka Alag Hi 'Mohsin'; Jin Ki Raahon Mein Talabgaar Bikhar Jaate Hain! |
Kon Kehta Hai Nafrton Mein Dard Hai 'Mohsin'; Kuch Mohabbatein Bhi Badi Aziyat Naak Hoti Hain! |
Kashti Abhi Umeed Ki Doobi Toh Nahi Hai; Phir Kyo Teri Aankhon Mein Ye Toofan Hain Mohsin; Munhasir Ehl-e-Sitam Par Hi Nahi'n Hai Mohsin; Log Apno'n Ki Enayat Se Bhi Mar Jate Hain! |
Wohi Wehshat, Wohi Hairat, Wohi Tanhai Hai 'Mohsin'; Teri Aankhein Mere Khawabon Se Kitni Milti Julti Hain! |
Wo Mohabbaton Ke Saude Bhi Ajeeb Kerta Hai Mohsin; Bas Muskurata Hai Aur Dil Khareed Leta Hai! |
Maza Deti Hain Unko Zindagi Ki Thokrein Mohsin; Jinko NaamÂ-e-Khuda Le Kar Sambhal Jane Ki Aadat Ho! |
Wo Mohabbaton Ke Sauday Bhi Ajeeb Kerta Hai 'Mohsin'; Bas Muskurata Hai Aur Dil Khareed Leta Hai! |