Usay Paana, Usay Khona, Ussi Ke Hijr Mein Rona; Yahi Gar Ishq Hai Mohsin, To Hum Tanha Hi Achay Hain! |
Itni Muddat Baad Itni Muddat Baad Mile Ho; Kin Socho Mein Gum Rahate Ho; Tez Hawaa Ne Mujh Se Puchaa; Ret Pe Kya Likhte Rehte Ho; Kaun Si Baat Hai Tum Mein Aisi; Itne Achchhe Kyon Lagte Ho; Hum Se Na Poocho Hijr Ke Qisse; Apni Kaho Ab Tum Kaise Ho! Translation: Hijr= Separation, Absence From One's Country, Qisse= Anecdote, Story, Tale, Quarre |
Kis Kis Se Rakhiye Dosti, Kis Kis Ko Dushman Janiye; Chehron Mein Ghir Kr Reh Gayin, Nadaniyan, Danaiyan; Rishton K Bandhan Tod Kr Hum Tum Yun Hi Milty Rahen; Roka Krein Ghar Waliyan, Pocha Krein Humsaiyan! |
Apna Ghar Kitna Hi Viraan Ho,Phir Apna Ghar Hai; Bistar-e-Khaak Lage Takht-e-Sulemani Mujh Ko; Jaanta Hoon Main Khad-o-Khaal Ki Kimat Mohsin; Aaina Kr Na Sake Ga Kabhi Hairan Mujh Ko! |
Abhi Kamsin Ho, Rehne Do, Kahin Kho Do Gi Dil Mera; Tumhare He Liye Rakha Hai, Le Jaana Jawaan Ho Kar! |
Mere Huroofon Mere Lafzon Mein Hai Chehra Mera; Mera Fun Ab Mera Mazhab Mera Emaan Bhi Hai; Meer-o-Ghalib Na Sahi Phir Bhi Ghanimat Jano; Mere Yaaron Ke Sarhane Mera Diwaan Bhi Hai! |
Gum'sum Si Raahguzar Thi, Kinara Nadi Ka Tha; Paani Mein Chaand, Chaand Mein Chehra Kisi Ka Tha! |
Apne Aap Se Phirtey Apne Aap Se Phirtey Hain Beganey Kyon; Sheher Mein Aakar Log Huye Deewaney Kyon; Hum Ne Kab Maani Thi Baat Zamaney Ki; Aaj Hamari Baat Zamana Maaney Kyon; Woh Jungle Ke Phoolon Per Kyon Marta Hai; Us Ko Achey Lagte Hain Veeraney Kyon; Sachi Baat Se Ghabraney Ki Aadat Kya; Jhootey Logon Se Apne Yaraaney Kyon; Halwat Mein Jo Aankh Milatey Darta Ho; Mailey Mein Woh Shakhss Humain Pehchaney Kyon; Mohsin Jab Bhi Chott Neyi Kha Leta Hoon; Dil Ko Yaad Atey Hain Yaar Puraney Kyon! Translation: halwat: seclusion |
Woh Shakhs Jis Ko Samajhney Mein Mujh Ko Umar Lagi; Bichad Ke Mujh Se Kissi Kaa Ho Na Saka Hoga! |
Tanhayi Mein Ajeeb Tanhayi Mein Ajeeb Zamanay Ki Wafaa Dekhta Raha; Umar Bhar Apna Ghar Tanha Dekhta Raha; Kaheen Na Kaheen Tou Badal Hee Jaatay Hain Silsilay; Magar Main Jahan Gaya Sehra Dekhta Raha; Jaanay Kiun Katraatay Hain Loog Mujhe Milne Se; Kal Shab Dair Talak Aaina Dekhta Raha; Paani Maangtay Maangtay Mere Honth Pathar Ho Gaye; Wo Shakhs Mashkeezah Lye Khada Dekhta Raha; Be-Gunaah Tha Phir Bhi Sir Jhukaaye Howay; Sitamgar Ki Sitam Ki Intehaa Dekhta Raha; Umar Bhar Mohabbat Ka Kuch Yun Sila Raha; Main Ose Aur Wo Duniya Dekhta Raha; Kahunga Khuda Se Yom-e-Hisaab Ko 'Mohsin'; Ke Zamaana Meri Barbaadi Ka Tamaasha Dekhta Raha! |