Ghar Ko Khojein Raat Din Ghar Se Nikle Paanv; Wo Rasta Hi Kho Gaya Jis Raste Tha Gaanv! |
Chidiya Ne Ud Kar Kaha Mera Hai Akash; Bola Shikra Daal Se Yunhi Hota Kaash! |
Ghar Ko Khojen Raat Din Ghar Se Nikle Paanv; Woh Rasta Hi Kho Geya Jis Raste Tha Gaanv! |
Bachcha Bola Dekh Kar Masjid Ali-Shan; Allah Tere Ek Ko Itna Bada Makaan! |
Hoshwalon Ko Khabar Kya Bekhudi Kya Cheez Hai, Ishq Kijiye Phir Samajhiye Zindagi Kya Cheez Hai! |
Dil Mein Na Ho Jurrat: Dil Mein Na Ho Jurrat To Mohabbat Nahi Milti, Khairat Mein Itni Badi Daulat Nahi Milti; Kuchh Log Yun Hi Shehar Mein Hum Se Bhi Khafa Hain, Har Ek Se Apni Bhi Tabiyat Nahi Milti; Dekha Tha Jise Maine Koi Aur Tha Shaayad, Woh Kaun Hai Jis Se Teri Surat Nahi Milti; Hanste Hue Chehron Se Hai Baazaar Ki Zinat, Rone Ko Yahan Vaise Bhi Fursat Nahi Milti! |
Leke Tan Ke Naap Ko, Ghoome Basti Gaanv; Har Chaadar Ke Gher Se, Baahar Nikalay Paanv! |
Sab Ki Puja Ek Si, Alag-Alag Hai Reet; Masjid Jaaye Maulavi, Koyal Gaaye Geet! |
Har Taraf Har Jagah Beshumaar Aadmi, Phir Bhi Tanhaaiyon Ka Shikaar Aadmi; Subah Se Shaam Tak Bojh Dhota Hua, Apni Hi Laash Ka Khud Mazaar Aadami; Har Taraf Bhaagte Daudte Raaste, Har Taraf Aadmi Ka Shikaar Aadmi; Roz Jeeta Hua Roz Marta Hua, Har Naye Din Naya Intezaar Aadmi; Zindagi Ka Muqaddar Safar Dar Safar, Aakhiri Saans Tak Beqaraar Aadmi! |
Dhoop Mein Niklo Ghataon Mein Naha Kar Dekho; Zindagi Kya Hai Kitabon Ko Hata Kar Dekho! |