Faasla Nazron Ka Dhokha Bhi To Ho Sakta Hai, Woh Mile Ya Na Mile Haath Badha Kar Dekho! |
Har Ek Baat Ko Chup-Chaap Kyon Suna Jaye, Kabhi To Haunsla Kar Ke Nahi Kaha Jaye! |
Dil Mein Na Ho Jurat To Mohabbat Nahi Milti; Khairat Mein Itni Badi Daulat Nahi Milti! |
Dekha Hua Sa Kuch Hai To Socha Hua Sa Kuch; Har Waqt Mere Saath Hai Uljha Hua Sa Kuch; Hota Hai Yun Bhi Rasta Khulta Nahi Kahin; Jungle Sa Phail Jata Hai Khoya Hua Sa Kuch; Sahil Kee Geeli Ret Par Bachhon Ke Khel Sa; Har Lamha Mujh Mein Banta Bikharta Hua Sa Kuch; Fursat Ne Aaj Ghar Ko Sajaya Kuch Is Tarah; Har Shay Se Muskurata Hai Rota Hua Sa Kuch; Dhundhli Si Ek Yaad Kisi Qabar Ka Diya; Aur Mere Aas-Paas Chamakta Hua Sa Kuch! |
Dushmani Laakh Sahi Khatam Na Kijiye Rishta; Dil Mile Ya Na Mile Haath Milaate Rahiye! |
Ab Khushi Hai Na Koi Gham Rulane Wala; Humne Apna Liya Har Rang Zamane Wala; Har Be-Chehra Si Ummeed Hai Chehra Chehra; Jis Taraf Dekhi Aane Ko Hai Aane Wala; Usko Rukhsat To Kiya Tha Mujhe Maloom Na Tha; Sara Ghar Le Geya Ghar Chhod Ke Jaane Wala; Door Ke Chaand Ko Dhundo Na Kisi Aanchal Mein; Ye Ujala Nahi Aangan Mein Samane Wala; Ek Musafir Ke Safar Jaisi Hai Sabki Duniya; Koi Jaldi Mein Koi Der Mein Jaane Wala! |
Dil Mein Na Ho Jurat To Mohabbat Nahi Milti; Khairat Mein Itni Badi Daulat Nahi Milti! |
Abke Khafa Hua Hai Itna Abke Khafa Hua Hai Itna Khafa Bhi Ho; Tu Bhi Ho Aur Tujh Mein Koi Doosra Bhi Ho; Aankh Na Chheen Meri Nakabe Badlata Chal; Yun Ho Ki Tu Karib Bhi Ho Aur Juda Bhi Ho; Rishton Ke Registan Mein Har Sar Par Dhoop Hai; Har Paanv Mein Safar Hai Magar Raasta Bhi Ho; Duniya Ke Kehne Sunane Par Insaniyat Na Chhod; Insan Hai Toh Saath Mein Koi Khata Bhi Ho! |
Jab Kisi Se Jab Kisi Se Koi Gila Rakhna; Samne Apne Aaina Rakhna; Yun Ujaalon Se Waasta Rakhna; Shama Ke Paas Hi Hawa Rakhna; Ghar Kee Taameer Chaahe Jaisi Ho; Is Mein Rone Ki Jagah Rakhna; Masziden Hain Namaaziyon Ke Liye; Apne Ghar Mein Kahin Khuda Rakhna; Milna-Julna Jahan Zaroori Ho; Milne-Julne Ka Haunsla Rakhna! |
Munh Kee Baat Sune Har Koi Dil Ke Dard Ko Jaane Kaun; Aawazon Ke Bazaron Mein Khamoshi Pehchane Kaun; Sadiyon Sadiyon Wahi Tamasha Raasta Raasta Lambi Khoj; Lekin Jab Hum Mil Jaate Hain Kho Jaata Hai Jaane Kaun! |