Rakshas Tha Na Rakshas Tha Na Khuda Tha Pehle; Aadmi Kitna Bada Tha Pehle; Aasmaan, Khet, Samandar Sab Laal; Khoon Kagaz Pe Uga Tha Pehle; Main Wo Maqtool Jo Qatil Na Bana; Haath Mera Bhi Utha Tha Pehle; Ab Kisi Se Bhi Shikayat Na Rahi; Jane Kis-Kis Se Gila Tha Pehle; Shehar To Baad Mein Veeran Hua; Mera Ghar Khaak Hua Tha Pehle! |
Jo Ho Ek Baar Wo Har Baar Ho Aisa Nahi Hota; Hamesha Ek Hi Se Pyaar Ho Aisa Nahi Hota; Har Ek Kashti Ka Apna Tazurba Hota Hai Dariya Mein; Safar Mein Roz Hi Manjhdhar Ho Aisa Nahi Hota! |
Kuch Bhi Bacha Na Kehne Ko Har Baat Ho Gayi; Aao Kahin Sharab Piyein Raat Ho Gayi! |
Abke Khafa Hua Hai Itna Abke Khafa Hua Hai Itna Khafa Bhi Ho; Tu Bhi Ho Aur Tujh Mein Koi Doosra Bhi Ho; Aankh Na Chheen Meri Nakabe Badlata Chal; Yun Ho Ki Tu Karib Bhi Ho Aur Juda Bhi Ho; Rishton Ke Registan Mein Har Sar Par Dhoop Hai; Har Paanv Mein Safar Hai Magar Raasta Bhi Ho; Duniya Ke Kehne Sunane Par Insaniyat Na Chhod; Insan Hai Toh Saath Mein Koi Khata Bhi Ho! |
Dushmani Lakh Sahi Khatam Na Kijiye Rishta; Dil Milen Ya Na Milen Hath Milate Rahiye! |
Aaj Zara Fursat Aaj Zara Fursat Paayi Thi Aaj Use Phir Yaad Kiya; Band Gali Ke Aakhiri Ghar Ko Khol Ke Phir Aabad kiya; Khol Ke Khidkii Chand Hansa Phir Chand Ne Dono Hathon Se; Rang Udaye Phool Khilaye Chidiyon Ko Aazad Kiya; Bade Bade GHam Khade Hue The Raasta Roke Raahon Mein; Choti Choti Khushiyon Se Hi Hum Ne Dil Ko Shaad Kiya; Baat Bahut Mamuli Si Thi Uljh Gayi Takraron Mein; Ek Zara Si Zidd Ne Aakhir Dono Ko Barbaad Kiya; Danaon Ki Baat Na Maani Kaam Aayi Nadaani Hi; Suna Hawa Ko Padha Nadi Ko Mausam Ko Ustad Kiya! |
Kabhi Kisi Ko Kabhi Kisi Ko Muqamal Jahan Nahin Milta; Kahin Zamin To Kahin Aasmaan Nahi Milta; Jise Bhi Dekhiye Vo Apne Aap Mein Gum Hain; Zubah Mili Hain Magar Humzubah Nahin Milta; Bujha Saka Hain Bhala Kaun Waqt Ke Shole; Ye Aisi Aag Hain Jisme Dhuan Nahin Milta; Tere Zahan Mein Aisa Nahin Ki Pyar Na Ho; Zahan Umeed Ho Iski Wahan Nahin Milta! |
Jo Hua Ik Bar Woh Jo Hua Ik Bar Woh Har Baar Ho, Aesa Nahin Hota; Hamesha Aik Hi Se Pyaar Ho, Aesa Nahin Hota; Har Ik Kashti Ka Apna Hi Tajarba Hota Hai Darya Mein; Saffar Main Roz Hi Manjhdaar Ho, Aesa Nahin Hota; Kahani Main To Kirdaaron Ko Jo Chahe Bana Dijiye; Haqeeqat Bhi Kahaani Kaar Ho, Aesa Nahin Hota; Kahin To Koi Hoga Jis Ko Apni Bhi Zaroorat Ho; Har Ik Baazi Mein Dil Ki Haar Ho, Aesa Nahi Hota; Sikhaa Deti Hain Chalna Thokrain Bhi Raahgiron Ko; Koi Raasta Sadaa Dushwaar Ho, Aesa Nahin Hota! |
Deewar O Dar Se Utar Deewar O Dar Se Utar Kar Perchaiyan Bolti Hain; Koi Nahi Bolta Jab Tanhaiyan Bolti Hain; Pardesh Ke Raaston Mein Rookte Kahan Hain Musafir; Har Ped Kehta Hai Kissa Khamoshiyan Bolti Hain; Ek Bar To Zindagi Mein Milti Hai Sabko Haqumat; Kuch Din To Har Aaine Mein Sehzadiyan Bolti Hain; Sun'ne Ki Mohlat Mile To Aawaz Hai Pathron Mein; Ujadi Hui Bastiyon Mein Aabadiyan Bolti Hain! |
Har Taraf Har Jagah Har Taraf Har Jagah Beshumaar Aadami; Phir Bhi Tanhaaiyo Ka Shikaar Aadami; Subah Se Shaam Tak Bojh Dhotaa Hua; Apani Hi Laash Ka Khud Mazaar Aadami; Roz Jitaa Hua Roz Marataa Hua; Har Nayi Din Nayaa Itazaar Aadami; Har Taraf Bhaagate Daudate Raaste; Har Taraf Aadami Ka Shikaar Aadami; Zindagi Ka Muqaddar Safar Dar Safar; Aakhiri Saans Tak Beqaraar Aadami! |