Ek Naam Kya Likha Tera Sahil Ki Rait Pe; Phir Umar Bhar Hawa Se Meri Dushmani Rahi! |
Dene Wale Ki Mashyat Pe Hai Sab Kuch Moqoof; Mangne Wale Ki Hazat Nahi Dekhi Jati! |
Tera Ghar Aur Mera Jungle Bheegta Hai Sath-Sath; Aisi Barsatein Ke Badal Bheegta Hai Sath Sath! |
Ek Musht-e-Khaaq Aur Woh Bhi Hawa Ke Zad Mein Hai; Zindagi Ki Bebasi Ka Istiyaara Dekhna! Musht-e-Khaaq: A fist full of dust Zad: Control, Hold Istiyaara: Metaphor |
Wo Samandar Hai To Phir Rooh Ko Shadab Kare; Tashnagi Kyon Mujhe Deta Hain Sarabon Ki Tarah! Shadab: Green And Fresh Tashnagi: Thirst Sarab: Mirage / Illusion |
Humain Khabar Hai, Hawaa Ka Mizaaj Rakhte Ho; Magar Yeh Kya, Ke Zara Dair Ko Rukey Bhi Nahin! |
Dil Ko Us Raah Par Chalana Hi Nahi; Jo Mujhe Tujh Se Juda Kar De! |
Dil Ko Uss Raah Par Chalana Hi Nahi; Jo Mujhe Tujh Se Juda Kar De! |
Dil Ko Uss Raah Par Chalana Hi Nahi; Jo Mujhe Tujh Se Juda Kar De! |
Barish Hui To Phoolon Ke Tan Chaak Ho Gaye; Mausam Ke Haath Bheeg Ke Saffak Ho Gaye; Baadal Ko Kya Khabar Hai Ki Barish Ki Chaah Mein; Kaise Buland-o-Baala Shajar Khaak Ho Gaye! |