Dil Ko Ussh Raah Par Chalana Hi Nahi; Jo Mujhe Tujhse Juda Kar De! |
Apni Tanhayi Mere Naam Pe Abaad Kare, Kaun Ho Ga Jo Mujhe Uss Ki Tarah Yaad Kare, Dil Ajab Sheher Ke Jis Pr Bhi Khula Dar Us Ka, Woh Musaafir Isse Har Samt Se Barbaad Kare, Apne Qaatil Ki Zehaanat Se Pareshaan Hoon Main, Roz Ik Maut Naye Tarzz Ki Ijaad Kare, Itna Hairaan Ho Meri Be-Talabbi Ke Aagey, Waa Qaffass Main Koi Dar Khud Mera Sayaad Kare, Salb-E-Binaayi Ke Ehkaam Mile Hain Jo Kabhi, Roshni Chhuune Ki Khawhish Koi Shab-Zaad Kare, Soch Rakhnaa Bhi Jaraayem Main Hai Shaamil Ab To, Wohi Maasoom Hai Har Baat Pe Jo Saad Kare, Jab Lahuu Bol Parre Us Ke Gavaahon Ke Khilaaf, Qaazi-E-Sheher Kuch Is Baab Main Irshaad Kare, Uss Ki Muthi Main Bohat Roz Raha Mera Wajood, Mere Saahir Se Kaho Ab Mujhe Aazaad Kare! |
Kuch Fainsla To Ho Ki Kidhar Jana Chahiye; Pani Ko Ab To Sar Se Guzar Jana Chahiye; Har Baar Aidiyon Pe Gira Hai Mera Lahoo; Maqtal Mein Ab B-Tarz-E-Digar Jana Chahiye; Kya Chal Sakenge Jin Ka Faqat Masla Yeh Hai; Jaane Se Pehle Rakht-E-Safar Jana Chahiye; Sara Jvar-Bhata Mere Dil Mein Hai Magar; Ilzam Ye Bhi Chaand Ke Sar Jana Chahiye; Jab Bhi Gaye Azaab-E-Dar-O-Baam Tha Wahi; Aakhir Ko Kitni Der Se Ghar Jana Chahiye; Tohmat Laga Ke Maa Pe Jo Dushman Se Daad Le; Aise Sukhanfarosh Ko Mar Jana Chaahiye! |
Rukne Ka Samay Guzar Geya Hai; Jana Tera Ab Thehar Geya Hai; Rukhsat Kee Ghadi Khadi Hai Sar Par; Dil Koi Do-Neem Kar Geya Hai; Maatam Kee Fazaa Hai Shehar-e-Dil Mein; Mujh Mein Koi Shakhs Mar Geya Hai; Bujhne Ko Hai Phir Se Chashm-e-Nargis; Phir Khwaab-e-Sabaa Bikhar Geya Hai; Bas Ek Nigaah Kee Thi Us Ne; Saraa Chehra Nikhar Geya Hai! |
Doobi Hain Meri Ungliyan Khud Apne Lahoo Mein; Yeh Kaanch Ke Tukde Uthaane Kee Saza Hai! |
Kuchh Faisala To Ho Ki Kidhar Jana Chahiye; Paani Ko Ab To Sar Se Guzar Jana Chahiye; Har Baar Aidiyon Pe Gira Hai Mera Lahoo; Maqtal Mein Ab Ba-Tarz-e-Digar Jana Chahiye; Kya Chal Sakenge Jin Ka Faqat Masla Ye Hai; Jaane Se Pehle Rakht-e-Safar Jana Chahiye; Sara Jvaar-Bhata Mere Dil Mein Hai Magar; Ilzaam Ye Bhi Chaand Ke Sar Jana Chahiye; Jab Bhi Gaye Azaab-e-Dar-o-Baam Tha Wahi; Aakhir Ko Kitni Der Se Ghar Jana Chahiye; Tohmat Laga Ke Maa Pe Jo Dushman Se Daad Le; Aise Sukhanafarosh Ko Mar Jan Chahiye! |
Barish Hui to Phoolon Ke Tan Chaak Ho Gaye; Mausam Ke Haath Bheeg Ke Saffak Ho Gaye; Baadal Ko Kya Khabar Hai Ki Barish Kee Chaah Mein; Kaise Buland-o-Baala Shajar Khaak Ho Gaye; Jugnu Ko Din Ke Waqt Parakhne Kee Zidd Karein; Bachhe Hamare Ahad Ke Chalaak Ho Gaye; Lehra Rahi Hai Barf Kee Chaadar Hata Ke Ghaas; Suraj Kee Sheh Pe Tinke Bhi Bebaak Ho Gaye; Basti Mein Jitne Aab-Gazida The Sab Ke Sab; Dariya Ke Rukh Badalte Hi Tairaak Ho Gaye; Suraj Dimag Log Bhi Ablaagh-e-Fikar Mein; Zulf-e-Shab-e-Firaaq Ke Pechaak Ho Gaye; Jab Bhi Gharib-e-Shehar Se Kuch Guftguu Hui; Lahje Hawa-e-Shaam Ke Namnaak Ho Gaye! |
Ashk Aankh Mein Phir Ashk Aankh Mein Phir Atak Raha Hai; Kankar Sa Koi Khatak Raha Hai; Main Us Ke Khyaal Se Gurezaan; Wo Meri Sada Jhatak Raha Hai; Tahreer Usi Kee Hai Magara Dil; Khat Padhte Hue Atak Raha Hai; Hain Phone Pe Kis Ke Saath Baatein; Aur Zehn Kahaan Bhatak Raha Hai; Sadiyon Se Safar Mein Hai Samandar; Saahil Pe Thakaan Tapak Raha Hai; Ek Chaand Saleeb-E-Shaakh-E-Gul Par; Baali Kee Tarah Latak Raha Hai! |
Teri Khushbu Ka Teri Khushbu Ka Pata Karti Hai; Mujh Pe Ehsaan Hawa Karti Hai; Shab Kee Tanhai Mein Ab To Aksar; Guftagu Tujh Se Raha Karti Hai; Dil Ko Us Raah Pe Chalna Hi Nahi; Jo Mujhe Tujh Se Juda Karti Hai; Zindagi Meri Thi Lekin Ab To; Tere Kehne Mein Raha Karti Hai; Us Ne Dekha Hi Nahi Warna Ye Aankh; Dil Ka Ehaval Kaha Karti Hai; Sham Padte Hi Kisi Shakhs Kee Yaad; Kucha-e-Jaan Mein Sada Karti Hai! |
Barish Hui To Phulon Ke Tan Chaak Ho Gaye; Mausam Ke Haath Bheeg Ke Saffak Ho Gaye; Badal Ko Kya Khabar Hai Ki Barish Kee Chaah Mein; Kaise Buland-o-Baala Shajar Khaak Ho Gaye! |