Waqt Ke Sath Anaasar Bhi... Waqt Ke Sath Anaasar Bhi Rahe Sazish Mein; Jal Gaye Pair Kabhi Dhoop Kabhi Barish Mein; Woh To Ik Saada-o-Kam Shauq Ka Talib Nikla; Hum Ne Naahiq Hi Ganwaya Use Aarayesh Mein; Zindagi Ki Koi Mehrumi Nahi Yaad Aayi; Jab Talak Hu Mathe Tere Qurb Ki Asaayesh Mein; Ek Duniya Ka Qaseeda Tha Agarche Mere Naam; Lutf Aata Tha Kisi Shakhs Kee Fehmayesh Mein; Us Kee Aankhen Bhi Meri Tarah Se Girdi Kahi Aur; Khwab Ka Karz Barh Jata Hai Ik Khwahish Mein! |
Ashk Aankh Mein Ashk Aankh Mein Phir Atak Raha Hai; Kankar Sa Koi Khatak Raha Hai; Main Uss Ke Khayaal Se Gurezaan; Wo Meri Sadaa Jhatak Raha Hai; Tehreer Ussi Ki Hai, Magar Dil; Khat Padhte Hue Atak Raha Hai; Hain Phone Pe Kis Ke Saath Baatein; Aur Zehen Kahan Bhatak Raha Hai; Sadiyon Se Safar Mein Hai Samandar; Sahil Pe Thakan Tapak Raha Hai! |
Justaju Khoye Hue Kee Umar Bhar Karte Rahe; Chaand Ke Humraah Hum Har Shab Safar Karte Rahe; Raaston Ka Ilm Tha Na Hum Ko Simton Kee Khabar; Shehar-e-Na-Maaloom Kee Chahat Magar Karte Rahe! |
Sab Rutein Aakar Chali Jati Hain; Mausam-e-Gham Bhi To Hijrat Karta! Translation Rutein = Seasons Hijrat = Transition |
Kaun Chahega Tumhe Meri Tarah; Ab Kisi Se Na Mohabbat Karna! |
Badal Dena Hai Raasta Ya Kahin Par Baith Jana Hai; Ki Thaktaa Ja Raha Hai Humsafar Ahistaa Ahistaa! |
Tum Se Kitna Pyar Hai Tum Se Kitna Pyar Hai Dil Mein Utar Ke Dekh Lo; Na Yaqeen Aaye To Phir Dil Badal Ke Dekh Lo; Hum Ne Apni Har Saans Par Naam Tera Likh Diya; Ek Tujhe Paane Ki Khatir Khud Ko Pagal Kar Diya; Ishq Mein Tum Bhi Sanam Hadh Se Guzar Ke Dekh Lo; Tum Se Kitna Pyar Hai Dil Mein Utar Ke Dekh Lo; Jaane Kyun Saare Jahaan Se Ho Gayi Bekhabar; Jab Se Tum Ankhoon Mein Aaye Jaagti Hai Ye Nazar; Apni Ratoon Se Meri Ratein Badal Ke Dekh Lo; Tum Se Kitna Pyar Hai Dil Mein Utar Ke Dekh Lo! |
Mere Paas Itne Sawaal Thay Meri Umar Se Na Simat Sake; Tere Paas Jitne Jawaab Thay Teri Ek Nigaah Mein Aa Gaye! |
Saza Ban Jati Hain Guzre Hue Waqt Ki Yaadein; Najaane Kyun Chhod Jaane Ke Liye Meharban Hote Hain Log! |
Rail Ki Seeti Mein Kaise Hijr Ki Tamheed Thi; Us Ko Rukhsat Karke Ghar Laute To Andaaza Hua! |