Aitbaar Us Ka Hamesha Karna; Woh Toh Jhoothi Bhei Kasam Khayega! Aitbaar: Trust |
Baki Rahi Na Phir Woh Sunehri Laqeer Bhi; Tara Jo Toot Kar Shab-e-Khamosh Mein Gira! Sunehri: Golden |
Qateel Apna Muqaddar Gham Se Begaana Agar Hota; To Phir Apne Paraye Hum Se Pehchaane Kahan Jaate! Muqaddar: Fate Begaana: Unrelated |
Sari Basti Me Ye Jadoo: Sari Basti Mein Ye Jadoo Nazar Aaye Mujhko, Jo Daricha Bhi Khule Tu Nazar Aaye Mujhko; Sadiyon Ka Rat Jaga Meri Raaton Mein Aa Geya, Mein Ek Haseen Shakhs Ki Baaton Mein Aa Geya; Jab Tassavur Mera Chupke Se Tujhe Chu Aaye, Der Tak Apne Badan Se Teri Khushboo Aaye; Gustaakh Hawaaon Ki Shikaayat Na Kiya Kar, Udd Jaaye Dupatta Toh Khanak Odh Liya Kar; Tum Pucho Aur Main Na Bataun Aise Toh Halaat Nahi, Ek Zara Sa Dil Toota Hai Aur Toh Koi Baat Nahi; Raat Ke Sannate Mein Humne Kya-Kya Dhokhe Khaaye Hain, Apna Hi Dil Jab Dhadka Toh Hum Samjhe Wo Aaye Hain! |
Sari Basti Mein Ye Jadoo Nazar Aaye Mujhko, Jo Daricha Bhi Khule Tu Nazar Aaye Mujhko; Sadiyon Ka Raat Jaga Meri Raaton Mein Aa Geya, Main Ek Haseen Shakhs Ki Baaton Mein Aa Geya; Jab Tassavuur Mera Chupke Se Tujhe Choo Aaye, Der Tak Apne Badan Se Teri Khushboo Aaye; Gustaakh Hawaaon Ki Shikaayat Na Kiya Kar, Udd Jaaye Duptta Toh Khanak Odh Liya Kar; Tum Pucho Aur Main Na Bataoon Aise Toh Halaat Nahi, Ek Zara Sa Dil Toota Hai Aur Toh Koi Baat Nahi; Raat Ke Sannate Mein Humne Kya-Kya Dhokhe Khaye Hain, Apna Hi Dil Jab Dhadka Toh Hum Samjhe Woh Aaye Hain! |
Mangne Se Mil Saki Nahi Humein Ek Bhi Khushi; Paaye Hain Laakh Ranj Tamanna Kiye Baghair! |
Dil Pe Aaye Hue Ilzam Se Pehchante Hain; Log Ab Mujhko Tere Naam Se Pehchante Hain! |
Yeh Ek Baar Ki Maut Ab Use Mili Warna; Zara Zara Sa Toh Hiddat Se Mar Raha Tha Koi! |
Ahbab Ko De Raha Hoon Dhokha; Chehre Pe Khushi Saja Raha Hoon! |
Aye Dost Teri Aankh Jo Nam Hai To Mujhe Kya, Main Khoob Hansunga Tujhe Gham Hai To Mujhe Kya; Kya Main Ne Kaha Tha Ki Zamane Se Bhala Kar, Ab Tu Bhi Sazavar-e-Sitam Hai To Mujhe Kya; Haan Le Le Kasam Gar Mujhe Qatra Bhi Mila Ho, Tu Shaaki-e-Arbaab-e-Karam Hai To Mujhe Kya; Jis Dar Se Nidamat Ke Siva Kuch Nahi Milta, Us Dar Pe Tera Sar Bhi Jo Khham Hai To Mujhe Kya; Maine To Pukara Hai Mohabbat Ke Ufaq Se, Raaste Mein Tere Sang-e-Haram Hai To Mujhe Kya; Bhoola To Na Hoga Tujhe Suqraat Ka Anjaam, Haathon Mein Tere Saaghar-e-Sam Hai To Mujhe Kya; Patthar Na Paden Gar Sar-e-Bazaar To Kehna, Tu Motarif-e-Husn-e-Sanam Hai To Mujhe Kya; Main Sarmad-o-Mansoor Bana Hun Teri Khaatir, Yeh Bhi Teri Umeed Se Kam Hai To Mujhe Kya! |