Yaaro Kisi Qatil Se Kabhi Pyaar Na Maango, Apne Hi Gale Ke Liye Talwar Na Maango; Gir Jaoge Tum Apne Maseeha Kee Nazar Se, Mar Kar Bhi Ilaaz-e-Dil-e-Beemar Na Maango; Khul Jayega Is Tarah Nigahon Ka Bharam Bhi, Kaanton Se Kabhi Phool Kee Mehakaar Na Maango; Sach Baat Pe Milta Hai Sada Zehar Ka Pyala, Jeena Hai To Phir Jeene Ke Izhaar Na Maango; Us Cheez Ka Kya Zikar Jo Mumkin Hi Nahi Hai, Sehara Mein Kabhi Sayaa-e-Deewar Na Maango! |
Yun Tasalli De Rahe Hain Hum Dil-e-Bimaar Ko, Jis Tarah Thaame Koi Girti Hui Deewar Ko! |
Jo Tu Hai Payaar Ka Baadal To Baar Baar Baras; Na Bheeg Paun Ga Main Tere Ek Nazarae Se! |
Kuch Keh Rahi Hain Aap Ke Seene Kee Dhadkanein; Mera Nahi To Dil Ka Kaha Maan Jaiye! |
Rahon Pe Nazar Rakhna Honthon Pe Dua Rakhna; Aa Jaye Koi Shayad Darwaza Khula Rakhna; Ehsaas Kee Shamaa Ko Is Tarah Jalaa Rakhna; Apni Bhi Khabar Rakhna Us Ka Bhi Pata Rakhna; Raaton Ko Bhatakne Kee Deta Hai Saza Mujhe; Dushwaar Hai Pehlu Mein, Dil Tere Bina Rakhna; Logon Ko Nigaahon Se Padh Lene Kee Aadat Hai; Logon Kee Tehreeron Ko Logon Se Bacha Rakhna; Bhuloon Main Agar Aye Dil, Tu Yaad Dila Dena; Tanhai Ke Lamhon Ka Har Zakham Hara Rakhna; Ik Boond Bhi Ashkon Kee Daaman Na Bhigo Paaye; Gham Us Kee Amaanat Hai, Palkon Pe Sajaa Rakhna; Iss Tarah 'Qateel' Us Se Bartaao Rahe Apna; Woh Bhi Na Bura Maane, Dil Ka Bhi Kaha Rakhna! |
Mil Kar Judaa Hue To Na Soya Karenge Hum; Ek Dusre Kee Yaad Mein Roya Karenge Hum; Aansu Jhalak Jhalak Ke Satayenge Raat Bhar; Moti Palak Palak Mein Piroya Karenge Hum! |
Rahon Pe Nazar Rakhna Honthon Pe Dua Rakhna; Aa Jaye Koi Shayad Darwaza Khula Rakhna; Ehsaas Kee Shamaa Ko Is Tarah Jalaa Rakhna; Apni Bhi Khabar Rakhna Us Ka Bhi Pata Rakhna; Raaton Ko Bhatakne Kee Deta Hai Saza Mujhe; Dushwaar Hai Pehlu Mein, Dil Tere Bina Rakhna; Logon Ko Nigaahon Se Padh Lene Kee Aadat Hai; Logon Kee Tehreeron Ko Logon Se Bacha Rakhna; Bhuloon Main Agar Aye Dil, Tu Yaad Dila Dena; Tanhai Ke Lamhon Ka Har Zakham Hara Rakhna; Ik Boond Bhi Ashkon Kee Daaman Na Bhigo Paaye; Gham Us Kee Amaanat Hai, Palkon Pe Sajaa Rakhna; Iss Tarah 'Qateel' Us Se Bartaao Rahe Apna; Woh Bhi Na Bura Maane, Dil Ka Bhi Kaha Rakhna! |
Mangne Se Mil Saki Nahi Humein Ek Bhi Khushi; Paaye Hain Laakh Ranj Tamanna Kiye Baghair! |
Mil Kar Judaa Hue To Na Soya Karenge Hum; Ek Dusre Kee Yaad Mein Roya Karenge Hum; Aansu Jhalak Jhalak Ke Satayenge Raat Bhar; Moti Palak Palak Mein Piroya Karenge Hum; Jab Dooriyon Kee Aag Dilon Ko Jalayegi; Jismon Ko Chandani Mein Bhigoya Karenge Hum; Bin Kar Har Ek Bazm Ka Mauzu-e-Guftgu; Sheron Mein Tere Gham Ka Samoya Karenge Hum; Mazbooriyan Ke Zehar se Kar Lenge Khudkushi; Ye Buzdili Ka Jurm Bhi Goya Karenge Hum; Dil Jal Raha Hai Zard Shajar Dekh Dekh Kar; Ab Chahton Ke Beej Na Boya Karenge Hum; Gar De Geya Dagha Humein Toofan Bhi 'Qateel'; Sahil Pe Kashtiyon Ko Duboya Karenge Hum! |
Meri Nazar Se Na Ho Door Ek Pal Ke Liye; Tera Wajood Hai Lazim Meri Ghazal Ke Liye; Kahan Se Dhoond Ke Laaun Charag Se Wo Badan; Taras Gayi Hain Nigahein Kanwal Kanwal Ke Liye! |