Koshish Karun Ga Usko Bhulane Kee Umar Bhar; Aaye Gi Uski Yaad Magar Umar Bhar Mujhe! |
Dard Se Mera Daman Dard Se Mera Daman Bhar De Ya Allah; Phir Chahe Deewana Kar De Ya Allah; Maine Tujhse Chand Sitare Kab Maange; Roshan Dil Bedaar Nazar De Ya Allah; Suraj Si Ik Cheez To Hum Sab Dekh Chuke; Sach-Much Kee Ab Koi Sehar De Ya Allah; Ya Dharti Ke Zakhmon Par Marham Rakh De; Ya Mera Dil Patthar Kar De Ya Allah! |
Ek Jaam Khankta Jaam Ek Jaam Khankta Jaam, Ki Saqi Raat Guzrne Wali Hai; Ek Hoshruba Inaam, Ki Saqi Raat Guzrne Wali Hai; Wo Dekh Sitaron Ke Moti Har Aan Bikhrte Jaate Hain; Aflaak Pe Hai Kohram, Ki Saqi Raat Guzrne Wali Hai; Yeh Waqt Nahi Hai Baaton Ka Palkon Ke Saaye Kaam Mein La; Ilham Koi Ilham, Ki Saqi Raat Guzrne Wali Hai; Madhoshi Mein Ehsas Ki Unche Jeene Se Gir Jaane De; Iss Waqt Na Mujh Ko Tham, Ki Saqi Raat Guzrne Wali Hai! |
Dil Pe Aaye Hue Ilzam Se Pehchante Hain; Log Ab Mujhko Tere Naam Se Pehchante Hain! |
Wo Dil Hi Kya Wo Dil Hi Kya Tere Milne Kee Jo Dua Na Kare; Main Tujh Ko Bhool Kar Zinda Rahuun Khuda Na Kare; Rahe Ga SaathTera Pyaar Zindagi Ban Kar; Ye Aur Baat, Meri Zindagi Wafa Na Kare; Ye Theek Hai Nahi Marta Koi Judaai Mein; Khuda Kisi Se Kisi Ko Magar Judaa Na Kare; Suna Hai Usko Mohabbat Duayein Deti Hain; Jo Dil Pe Chot To Khaye Magar Gila Na Kare; Bujha Dia Hai Naseebon Ne Mere Pyaar Ka Chaand; Koi Dia Meri Palkon Pe Ab Jala Na Kare; Zamana Dekh Chuka Hai Parakh Chuka Hai; 'Qateel' Jaan Se Jaaye Par Iltijaa Na Kare! |
Ai Kaash Tujhe Aisa Ai Kaash Tujhe Aisa Ik Zakhm-e-Judaai Dun; Jab Tees Koi Chamke Main Tujhko Dikhayi Dun; Jis Roz Kabhi Tera Deedaar Na Ho Paaye; Main Apni Hee Aankhon Ko Naabeena Dikhayi Dun; Magroor Hai Tu Kitna Sirf Ik Sanam Ban Kar; Tu Chahe To Main Tujhko Tan Man Kee Khudai Dun; Tujh Sa Koi Dil Wala Mehsoos Kare Mujhko; Main Geet Nahi Aisa Jo Sab Ko Sunayi Dun; Ik Umar Ke Baad Apne Chit Chor Ko Pakda Hai; Main Kaise Qateel Usko Baahon Se Rihayi Dun! |
Ab Jis Ke Jee Mein Aaye Wahi Paaye Roshni; Hum Ne To Dil Jalaa Ke Sar-e-Aam Rakh Diya! |
Yun Tasalli De Rahe Hain Hum Dil-e-Bimaar Ko; Jis Tarah Thaame Koi Girti Hui Deewar Ko! |
Sadmaa To Hai Mujhe Bhi Sadmaa To Hai Mujhe Bhi Ki Tujhse Judaa Hun Main; Lekin Yeh Sochta Hun Ki Ab Tera Kya Hun Main; Main Khudkushi Ke Jurm Ka Karta Hun Aitraaf; Apne Badan Ki Kabr Mein, Kab Se Garrhaa Hun Main; Kis Kis Ka Naam Laaun Zubaan Par Ki Tere Saath; Har Roz Ek Shaks Naya Dekhta Hun; Kya Jaane Kis Adaa Se Liya Tune Mera Naam; Duniya Samajh Rahi Hai, Ki Sab Kuch Tera Hun Main; Le Mere Tajrubon Se Sabak, Aye Mere Raqeeb; Do-Chaar Saal Umar Mein, Tujhse Barra Hun Main; Jaaga Huwa Zameer Woh Aiyena Hai 'Qateel'; Sone Se Pehle Roz, Jise Dekhta Raha Hun Main! |
Ho Na Ho Yeh Koi Sach Bolney Wala Hai Qateel; Jis Ke Hathon Mein Kalam, Paon Mein Zanjeerein Hain! |