Na Jane Kin Adaaon Se Na Jane Kin Adaaon Se Lubhaa Liya Geya Mujhe; Qateel Mere Samney Churaa Liya Geya Mujhe; Kabhi Jo Un Ke Jashn Mein Seyaahiyan Bikhar Gayin; To Roshni Ke Vaastey Jalaa Liya Geya Mujhe; Barah-e-Raast Raabta Na Mujhse Tha Qabool Unhe; Likhaa Ke Khat Raqeeb Se Bulaa Liya Geya Mujhe; Jab Un Ke Deed Ke Liye Qataar Mein Kharra Tha Main; Qataar Se Na Jaane Kyun Hattaa Liye Geya Mujhe; Main Rondney Ki Cheez Tha Kisi Ke Paon Se Magar; Kabhi Kabhi To Zulf Mein Sajaa Liya Geya Mujhe; Sawaal Tha Ki Wafaa Hai Kya, Jawab Tha Ki Zindagi; Qateel Pyar Se Galey Laga Liya Geya Mujhe! |
Lamha Bhar Apna Lamha Bhar Apna Hawaon Ko Banane Waale; Ab Na Aayein Ge Palat Kar Kabhi Jaane Waale; Kya Mile Ga Tujhe Bikhre Hue Khwaabon Ke Siwa; Ay Rait Pe Chaand Ki Tasveer Banaane Waale; Sab Ne Pehna Tha Bade Shaunq Se Kaghaz Ka Libaas; Jis Qadar Log Thay Baarish Mein Nahaane Waale; Mar Gaye Hum Toh Ye Qutbe Pe Likha Jaye Ga; So Gaye Aap Zamaane Ko Jagaane Waale; Dar-o-Deewaar Pe Hasrat Si Barasti Hai Qateel; Jaane Kis Desh Gaye Pyaar Nibhaane Waale! |
Ho Na Ho Yeh Koi Sach Bolne Wala Hai Qateel; Jis Ke Hathon Mein Qalam, Paon Mein Zanjeerein Hain! |
Keh Rahi Hai Mere Keh Rahi Hai Mere Jazbaat Ki Jhankaar Tujhe; Kar Sake Ga Na Koi Meri Tarah Pyaar Tujhe; Raqss Karti Hai Tere Khoon Mein Meri Khushbu; Kya Lubhaaye Gi Kisi Phool Ki Mehkaar Tujhe; Woh Baddan Aik Hi Mar'mar Se Taraashey Jis Ne; Main Ne Paaya Usi Fankaar Ka Shaahkar Tujhe; Shayed Ab Chup Na Sake Raaz-e-Mohabbat Mera; Main Ne Chup Reh Ke Sadaa Di Hai Kayi Baar Tujhe! |
Na Jane Kin Adaaon Na Jane Kin Adaaon Se Lubhaa Liya Geya Mujhe; Qateel Mere Samney Churaa Liya Geya Mujhe; Kabhi Jo Un Ke Jashn Mein Seyaahiyan Bikhar Gayin; To Roshni Ke Vaastey Jalaa Liya Geya Mujhe; Barah-E-Raast Raabta Na Mujhse Tha Qabool Unhe; Likhaa Ke Khat Raqeeb Se Bulaa Liya Geya Mujhe; Jab Un Ke Deed Ke Liye Qitaar Mein Kharra Tha Mein; Qitaar Se Na Jaane Kyun Hattaa Liye Geya Mujhe; Mein Rondney Ki Cheez Tha Kisi Ke Paon Se Magar; Kabhi Kabhi To Zulff Mein Sajaa Liya Geya Mujhe! Sawaal Tha Ke Wafaa Hai Kya, Jawab Tha Ke Zindagi; Qateel Pyar Se Galey Laga Liya Geya Mujhe! |
Bikhra Pada Hai Tere Hi Ghar Mein Tera Wajood; Bekaar Mehfilon Mein Tuje Dhoondhta Hun Mein! |
Lamha Bhar Apna Hawaaon Ko Bananay Waale; Ab Na Aayein Ge Palat Kar Kabhi Jaane Waale! |
Bikhra Pada Hai Tere Hi Ghar Mein Hi Tera Wajood; Bekaar Mehfilon Mein Tuje Dundhta Hun Mein! |
Tune Ye Phul Jo Zulfon Tune Ye Phul Jo Zulfon Mein Laga Rakha Hai; Ik Diya Hai Jo Andheron Mein Jala Rakha Hai; Jit Le Jaye Koi Mujhko Nasibon Vala; Zindagi Ne Mujhe Da O Pe Laga Rakha Hai; Jane Kab Aaye Koi Dil Mein Jhankane Vala; Is Liye Main Ne Gireban Ko Khula Rakha Hai; Imtehan Aur Meri Zabt Ka Tum Kya Loge; Main Ne Dhadakan Ko Bhi Sine Mein Chupa Rakha Hai! |
Wafa Ke Shish Mahal Mein Wafa Ke Shish Mahal Mein Saja Liya Main Ne; Wo Ek Dil Jise Pathar Bana Liya Main Ne; Ye Soch Kar Ki Na Ho Tak Mein Khushi Koi; Gamon Ki Ot Mein Khud Ko Chupa Liya Main Ne; Kabhi Na Khatm Kiya Main Ne Roshani Ka Muhaz; Agar Chirag Bujha, Dil Jala Liya Main Ne; Kamal Ye Hai Ki Jo Dushman Pe Chalana Tha; Wo Tir Apne Kaleje Pe Kha Liya Main Ne; Qateel Jisaki Adavat Mein Ek Pyar Bhi Tha; Us Aadmi Ko Gale Se Laga Liya Main Ne! |