Jo Tu Nahi Toh Ye Muqammal Na Ho Saken Ge; Teri Yahi Ahmiyat Hai Meri Kahaniyon Mein! |
Is Qadar Toot Ke Tum Par Humein Pyaar Aata Hai; Apni Baahon Mein Bharien Aur Maar Hi Daalein Tum Ko! |
Hum Tere Hijr Mein Andar Se Bikhar Jate Hain; Zinda Lagte Hain Magar Asal Mein Mar Jate Hain; Jab Kabhi Bolta Hai Hans Ke Kisi Aur Se Tu; Kitne Khanjar Mere Seene Mein Utar Jate Hain! |
Is Kadar Toot Ke Tum Par Humein Pyaar Aata Hai; Apni Baahon Mein Bharien Aur Maar Hi Daalein Tum Ko! |
Jigar Ho Jaega Chhalni Yeh Aankhein Khoon Royeingi Wasi; Be Fainz Logon Se Nibha Kar Kuch Nahi Milta! |
Kitni Zulfein Kitne Aanchal Ude Kitni Zulfein Kitne Aanchal Ude Chaand Ko Kya Khabar; Kitna Matam Hua Kitne Aansu Bahe Chaand Ko Kya Khabar; Muddaton Us Kee Khwahish Se Chalte Rahe Haath Aata Nahi; Chaah Mein Us Kee Pairon Mein Hain Aabale Chaand Ko Kya Khabar; Wo Jo Nikla Nahi To Bhatakate Rahe Hain Musafir Kayi; Aur Lutte Rahe Hain Kayi Kafile Chaand Ko Kya Khabar; Us Ko Davaa Bahut Meethe-Pan Ka 'Wasi' Chandni Se Kaho; Us Kee Kirano Se Kitne Hi Ghar Jal Gaye Chaand Ko Kya Khabar! |
Ye Kab Kaha Tha Ye Kab Kaha Tha Nazaron Se Khauf Aata Hai; Mujhe To Chaand Sitaaron Se Khauf Aata Hai; Main Dushmanon Ke Kisi Vaar Se Nahi Darta; Mujhe To Apne Hi Yaaron Se Khauf Aata Hai; Khiza Ka Jabar To Seene Pe Rok Lete Hain; Humein Udaas Baharon Se Khauf Aata Hai; Mile Hain Dosto Besakhiyon Se Gham Itne; Mere Badan Ko Saharon Se Khauf Aata Hai; Main Iltifaat Kee Khandaq Se Door Rehta Hun; Talluqaat Ke Gaaron Se Khauf Aata Hai! |
Dukh Dard Mein Hamesha Nikale Tumhare Khat; Aur Mil Gayi Khushi To Uchhale Tumhaare Khat; Sab Choodiyan Tumhari Samandar Ko Saunp Dee; Aur Kar Diye Hawa Ke Hawale Tumhare Khat; Mere Lahoo Mein Goonj Raha Hai Har Ek Lafz; Main Ne Ragon Ke Dasht Mein Paale Tumhare Khat; Yun To Hain Be-Shumar Wafa Kee Nishaniyan; Lekin Har Ek Shay Se Nirale Tumhare Khat; Jaise Ho Umar Bhar Ka Asasa Gareeb Ka; Kuch Is Tarah Se Main Ne Sambhale Tumhare Khat; Ahal-e-Hunar Ko Mujhe Pe 'Wasi' Aitraz Hai; Main Ne Jo Apne Sher Mein Dhaale Tumhare Khat; Parwah Mujhe Nahi Hai Kisi Chaand Kee 'Wasi'; Zulmat Ke Dasht Mein Hain Ujaale Tumhare Khat! |
Apna To Chahton Mein Apna To Chahton Mein Yahi Ek Asool Hai; Tera Bhala Bura Humein Sab Kuch Qubool Hai; Yeh Umar Bhar Ka Jaagna Bekaar Hi Na Jaye; Tu Na Mila To Saari Reyazat Fizool Hai; Khud Hi Kaha Tha Tu Ne Meri Jaan Chorr De; Ab Chorr Di To Kyon Tera Chehra Malool Hai; Ai Maan Yeh Meri Shohratein Meri Yeh Izatein; Kuch Bhi Nahi Bas Tere Kadmon Ki Dhool Hai; Aayi Jo Teri Yaad To Aankhein Baras Padi; Iss Waqt Tere Dard Ka Dil Par Nazool Hai; Ik Doosre Ke Waastey Dono Bane 'Wasi'; Guldaan Mera Dil Hai Teri Yaad Phool Hai! |
Samandar Mein Utarta Hun To Aankhen Bheeg Jati Hain; Teri Aankhon Ko Padhta Hun To Aankhen Bheeg Jati Hain; Tumhara Naam Likhne Ki Izazat Chinn Gayi Jab Se; Koi Bhi Lafz Likhta Hun To Aankhen Bheeg Jati Hain! |