Ab Jo Laute Ho Ab Jo Laute Ho Itne Saalon Mein; Dhoop Utri Hui Hai Baalon Mein; Tum Meri Aankh Ke Samandar Mein; Tum Meri Rooh Ke Ujalon Mein; Phool Hi Phool Khil Uthe Mujh Mein; Kaun Aaya Mere Khayalon Mein; Maine Jee Bhar Ke Tujh Ko Dekh Liya; Tujh Ko Uljhaa Ke Kuch Sawalon Mein; Meri Khushiyon Kee Kayenat Bhi Tu; Tu Hi Dukh Dard Ke Hawalon Mein; Jab Tera Doston Mein Zikar Aaye; Theess Uthti Hai Dil Ke Chaalon Mein; Tum Se Abaad Hai Yeh Tanhai; Tum Hi Roshan Ho Ghar Ke Jaalon Mein; Kya Use Yaad Aa Raha Hun 'Wasi'; Rang Ubhre Hain Uss Ke Gaalon Mein! |
Hum Tere Hijr Mein Andar Se Bikhar Jate Hain; Zinda Lagte Hain Magar Asal Mein Mar Jate Hain; Jab Kabhi Bolta Hai Hans Ke Kisi Aur Se Tu; Kitne Khanjar Mere Seene Mein Utar Jate Hain! |
Hum Se Kya Puchte Ho Hum Se Kya Puchte Ho Hijar Mein Kya Karte Hain; Tere Laut Aane Kee Din Raat Dua Karte Hain; Ab Koi Honth Nahi In Ko Churane Aate; Meri Aankhon Mein Agar Ashk Hua Karte Hain; Teri Tu Jane, Par Ai Jane-Tammana Hum To; Saans Ke Saath Tujhe Yaad Kiya Karte Hain; Tu Hi Pehlu Mein Nahi Warna December Mein Wahin; Dhoop Mein Akhbaar Padhaa Karte Hain; Kabhi Yaadon Mein Tujhe Baahon Mein Bhar Lete Hain; Kabhi Khawbon Mein Tujhe Chum Liya Karte Hain; Teri Tasveer Laga Lete Hain Hum Seene Se; Phir Tere Khat Se Teri Baat Kiya Karte Hain; Gar Tujhe Chorrne Kee Soch Bhi Aaye Dil Mein; Hum To Khud Ko Bhi Wahin Chorr Diya Karte Hain! |
Diya Diye Se Jala Loon To Chain Aaye Mujhe; Tumhein Gale Se Laga Loon To Chain Aaye Mujhe; Mohabbton Ke Saheefay Hain Ya Azaab Koi; Tere Khatoot Jala Loon To Chain Aaye Mujhe! Translation: Saheefay = A written document Azaab = Torture Khatoot = Letters |
Dheere Se Sarakti Hai Raat Dheere Se Sarakti Hai Raat Uss Ke Aanchal Kee Tarah; Uska Chehra Nazar Aata Hai Jheel Mein Kanwal Kee Tarah; Baad Muddat Usko Dekha To Jism-o-Jaan Ko Yun Laga; Pyaasi Zameen Pe Jaise Koi Baras Geya Baadal Kee Tarah; Roz Kehta Hai Seene Pe Sar Rakh Ke Raat Bhar Jagauonga; Sar-e-Sham Hee Mujhe Aaj Phir Sula Geya Woh Kal Kee Tarah; Mere Hee Dil Ka Makeen Nikla Woh Shakhs 'Wasi' Aur Main Shehar Bhar Mein Dhundta Raha Use Kisi Pagal Kee Tarah! |
Dukh Dard Mein Hamesha Dukh Dard Mein Hamesha Nikale Tumhaare Khat; Aur Mil Gayi Khushi To Uchhaale Tumhaare Khat; Sab Chudiyan Tumhari Samandar Ko Saunp Di; Aur Kar Diye Hawa Ke Havale Tumhare Khat; Mere Lahoo Mein Goonj Raha Hai Har Ek Lafz; Maine Ragon Ke Dasht Mein Paale Tumhare Khat; Yun To Hain Be-Shumar Wafaa Kee Nishaniyan; Lekin Har Ek Shai Se Nirale Tumhare Khat; Jaise Ho Umar Bhar Ka Asasa Garib Ka; Kuch Is Tarah Se Maine Sambhale Tumhare Khat; Ahl-e-Hunar Ko Mujh Pe 'Wasi' Aitraz Hai; Maine Jo Apne Sher Mein Dhaale Tumhare Khat; Parwah Mujhe Nahin Hai Kisi Chand Ki 'Wasi'; Zulmat Ke Dasht Mein Hain Ujale Tumhare Khat! |
Hum Tere Hijr Mein Andar Se Bikhar Jaate Hain; Zinda Lagte Hain Magar Asal Mein Mar Jaate Hain; Jab Kabhi Bolta Hai Hans Ke Kisi Aur Se Tu; Kitne Khanjar Mere Seene Mein Utar Jaate Hain! |
Jo Bhi Deewar Hai Raste Jo Bhi Deewar Hai Raste Mein Giraa Ke Ro Lein; Aao Ik Doojay Ko Seene Se Laga Ke Ro Lein; Saamne Tu Hai To Hum Dil Mein Bhi Ro Sakte Hain; Yu'n Karein Hum Tujhe Baaton Mein Laga Kar Ro Lein; Tere Aaney Se Yeh Naraaz Raha Karte Hain; Jee Mein Hai Aaj Har Ik Gham Ko Manaa Kar Ro Lein! |
Kab Talak Tuj Pe Inhisar Krain; Kyun Na Ab Doosron Se Pyar Krain; Tu Kabi Waqt Par Nahi Pahuncha; Kis Tarah Tera Aitbar Krain! |
Ab Magar Kuch Bhi Nahin, Kuch Bhi Nahin Ho Sakta; Apne Jazbon Se Yeh Rangeen Shararat Na Karo; Kitni Masoom Ho, Naazuk Ho, Hamaqat Na Karo; Baar'haa Tum Se Kaha Tha Ke Mohabbat Na Karo! |