Syed Wasi Shah Shayari

• Jo Tu Nahi Toh Ye Muqammal Na Ho Saken Ge;

Teri Yahi Ahmiyat Hai Meri Kahaniyon Mein!Upload to Facebook
Jo Tu Nahi Toh Ye Muqammal Na Ho Saken Ge;
Teri Yahi Ahmiyat Hai Meri Kahaniyon Mein!
~ Syed Wasi Shah
• Is Qadar Toot Ke Tum Par Humein Pyaar Aata Hai;

Apni Baahon Mein Bharien Aur Maar Hi Daalein Tum Ko!Upload to Facebook
Is Qadar Toot Ke Tum Par Humein Pyaar Aata Hai;
Apni Baahon Mein Bharien Aur Maar Hi Daalein Tum Ko!
~ Syed Wasi Shah
• Hum Tere Hijr Mein Andar Se Bikhar Jate Hain;
Zinda Lagte Hain Magar Asal Mein Mar Jate Hain;
Jab Kabhi Bolta Hai Hans Ke Kisi Aur Se Tu;
Kitne Khanjar Mere Seene Mein Utar Jate Hain!
~ Syed Wasi Shah
• Is Kadar Toot Ke Tum Par Humein Pyaar Aata Hai;
Apni Baahon Mein Bharien Aur Maar Hi Daalein Tum Ko!
~ Syed Wasi Shah
• Jigar Ho Jaega Chhalni Yeh Aankhein Khoon Royeingi Wasi;

Be Fainz Logon Se Nibha Kar Kuch Nahi Milta!Upload to Facebook
Jigar Ho Jaega Chhalni Yeh Aankhein Khoon Royeingi Wasi;
Be Fainz Logon Se Nibha Kar Kuch Nahi Milta!
~ Syed Wasi Shah
• Kitni Zulfein Kitne Aanchal Ude

Kitni Zulfein Kitne Aanchal Ude Chaand Ko Kya Khabar;
Kitna Matam Hua Kitne Aansu Bahe Chaand Ko Kya Khabar;

Muddaton Us Kee Khwahish Se Chalte Rahe Haath Aata Nahi;
Chaah Mein Us Kee Pairon Mein Hain Aabale Chaand Ko Kya Khabar;

Wo Jo Nikla Nahi To Bhatakate Rahe Hain Musafir Kayi;
Aur Lutte Rahe Hain Kayi Kafile Chaand Ko Kya Khabar;

Us Ko Davaa Bahut Meethe-Pan Ka 'Wasi' Chandni Se Kaho;
Us Kee Kirano Se Kitne Hi Ghar Jal Gaye Chaand Ko Kya Khabar!
~ Syed Wasi Shah
• Ye Kab Kaha Tha

Ye Kab Kaha Tha Nazaron Se Khauf Aata Hai;
Mujhe To Chaand Sitaaron Se Khauf Aata Hai;

Main Dushmanon Ke Kisi Vaar Se Nahi Darta;
Mujhe To Apne Hi Yaaron Se Khauf Aata Hai;

Khiza Ka Jabar To Seene Pe Rok Lete Hain;
Humein Udaas Baharon Se Khauf Aata Hai;

Mile Hain Dosto Besakhiyon Se Gham Itne;
Mere Badan Ko Saharon Se Khauf Aata Hai;

Main Iltifaat Kee Khandaq Se Door Rehta Hun;
Talluqaat Ke Gaaron Se Khauf Aata Hai!
~ Syed Wasi Shah
• Dukh Dard Mein Hamesha Nikale Tumhare Khat;
Aur Mil Gayi Khushi To Uchhale Tumhaare Khat;

Sab Choodiyan Tumhari Samandar Ko Saunp Dee;
Aur Kar Diye Hawa Ke Hawale Tumhare Khat;

Mere Lahoo Mein Goonj Raha Hai Har Ek Lafz;
Main Ne Ragon Ke Dasht Mein Paale Tumhare Khat;

Yun To Hain Be-Shumar Wafa Kee Nishaniyan;
Lekin Har Ek Shay Se Nirale Tumhare Khat;

Jaise Ho Umar Bhar Ka Asasa Gareeb Ka;
Kuch Is Tarah Se Main Ne Sambhale Tumhare Khat;

Ahal-e-Hunar Ko Mujhe Pe 'Wasi' Aitraz Hai;
Main Ne Jo Apne Sher Mein Dhaale Tumhare Khat;

Parwah Mujhe Nahi Hai Kisi Chaand Kee 'Wasi';
Zulmat Ke Dasht Mein Hain Ujaale Tumhare Khat!
~ Syed Wasi Shah
• Apna To Chahton Mein

Apna To Chahton Mein Yahi Ek Asool Hai;
Tera Bhala Bura Humein Sab Kuch Qubool Hai;

Yeh Umar Bhar Ka Jaagna Bekaar Hi Na Jaye;
Tu Na Mila To Saari Reyazat Fizool Hai;

Khud Hi Kaha Tha Tu Ne Meri Jaan Chorr De;
Ab Chorr Di To Kyon Tera Chehra Malool Hai;

Ai Maan Yeh Meri Shohratein Meri Yeh Izatein;
Kuch Bhi Nahi Bas Tere Kadmon Ki Dhool Hai;

Aayi Jo Teri Yaad To Aankhein Baras Padi;
Iss Waqt Tere Dard Ka Dil Par Nazool Hai;

Ik Doosre Ke Waastey Dono Bane 'Wasi';
Guldaan Mera Dil Hai Teri Yaad Phool Hai!
~ Syed Wasi Shah
• Samandar Mein Utarta Hun To Aankhen Bheeg Jati Hain;

Teri Aankhon Ko Padhta Hun To Aankhen Bheeg Jati Hain;

Tumhara Naam Likhne Ki Izazat Chinn Gayi Jab Se;

Koi Bhi Lafz Likhta Hun To Aankhen Bheeg Jati Hain!Upload to Facebook
Samandar Mein Utarta Hun To Aankhen Bheeg Jati Hain;
Teri Aankhon Ko Padhta Hun To Aankhen Bheeg Jati Hain;
Tumhara Naam Likhne Ki Izazat Chinn Gayi Jab Se;
Koi Bhi Lafz Likhta Hun To Aankhen Bheeg Jati Hain!
~ Syed Wasi Shah
ADVERTISEMENT
ADVERTISEMENT