Chaman Mein Atish-e-Gul Bhi Nahi Dhuan Bhi Nahi; Bahar To Ye Nahi Hai Magar Khizan Bhi Nahin! |
Mujh Ko Ta-Umar Tadapne Ki Saza Hi Dena; Tujh Ko Manzoor Agar Ho To Bhula Hi Dena! |
Apne Kadam Ki Chaap Se Yun Darr Rahe Hain Hum; Maqtal Ki Samt Jaise Safar Kar Rahe Hain Hum! |
Chamakte Suraj Uchhalte The Kahan Gaye Wo; Jo Shamein Subhon Mein Dhalte The Kahan Gaye Wo! |
Main Tar-Tar 'Zafar' Ho Gaya Hun Jis Ke Sabab; Falak Ke Chaak Usi Fikar Se Rafu Hue Hain! |
Teri Qismat Mein Tahi-Daman Hi Rahna Tha 'Qadir'; Varna Us Ne Anjuman Mein Phool Barsaye Bahut! |
Hum Ne Maana Ki Mehka Ke Ghar Rakh Diya; Kitne Phoolon Ka Sar Kaat Kar Rakh Diya! |
Zakhm-e-Dil Ki Kasak Chhupane Ko; Jism Par Ghaav Chahte Hain Hum! |
Ab Chal Pada Hun Akhiri Apne Safar Ko Mein; Achha Hai Seedha Kar Lun Jo Apni Qamar Ko Main! |
Ye Baat Ab Ke Use Batana Nahi Padegi; Ghazal Ko Harghiz Ghazal Sunana Nahi Paḍegi! |