Haathon Ki Lakeeroon Pe Mat Ja Ai Ghalib, Naseeb Unke Bhi Hote Hain Jinke Haath Nahi Hote! |
Teri Kam-Goyi Ke Charche Hain Zamane Bhar Mein 'Mohsin'; Kis Se Seekha Hai Yun Aankhon Se Baaton Ki Wazahat Karna! |
Dil Na Lagana Kisi Se Dard Hi Paoge, Beeti Baaton Ko Yaad Karke Rote Hi Nazar Aaoge; Karni Hai Toh Sirf Dosti Karo Mere Yaar, Beshart Hamesha Umeed Se Dugna Paoge! |
Apne Haathon Ki Lakeerain Na Badal Paya `Mohsin`; Khush Naseebo Se Bahut Hath Milay Hum Ne! |
Mohabbat Ka Khumaar Utraa Toh Tab Saabit Hua, Wo Jo Manzil Ka Rasta Tha, Be-maksaad Safar Niklaa! |
Sabhi Ko Sabh Kuch Nahi Milta, Nadi Ki Har Lehar Ko Sahil Nahi Milta, Yeh Dil Walon Ki Dunia Hai Dost, Kisi Se Dil Nahi Milta To Koi Dil Se Nahi Milta! |
Hoti Nahi Qubool Dua Tark-e-Ishq Ki; Dil Chahta Na Ho Toh Dua Mein Asar Kahan! |
Aaj Dekha Hai Tujh Ko Dair Ke Baad; Aaj Ka Din Guzar Na Jaye Kahin! |
Bila Ki Chamak Us Ke Chehre Pe Thi; Mujhe Kya Khabar Thi Ki Mar Jayega! |
Ye Toh Achha Hua Aansu Be-Rang Hua Karte Hain; Varna Raaton Ko Bheege Takiye Saara Raaz Khol Dete! |