Laga Ke Aag Seene Mein Chale Ho Tum Kahan; Abhi Toh Raakh Udne Do Tamasha Aur Bhi Hoga! |
Hum Aah Bhi Karte Hain Toh Ho Jaate Hain Badnam; Woh Qatal Bhi Karte Hain Toh Charcha Nahi Hota! |
Tauba Toh Kar Li Hai Ishq Se Lekin; Thoda Sa Zeher La Do Aaj Bahut Udaas Hun Main! |
Hum Bhi Maujud The Taqdeer Ke Darwaaze Par; Log Daulat Par Gire Aur Humne Tujhe Maang Liya! |
Sochta Hun Ke Bhuja Dun Main Yeh Kamre Ka Diya; Apne Saaye Ko Bhi Kyon Saath Jagaaon Apne! |
Ye Dhuan Kam Ho To Pehchaan Ho Mumkin Shayad, Yun To Wo Jalta Hua Apna Makaan Lagta Hai! Mumkin: Possible |
Doosro Ko Hamari Sazayein Na De, Chandni Raat Ko Bad-Duaein Na De! |
Khud Ko Yun Mehsoor Kar Baitha Hoon Apni Zaat Mein; Manzilen Charon Taraf Hain, Raasta Koi Nahi! Mehsoor: Sorrounded Zaat: Personality |
Na Sath Hai Kisi Ka Na Sahara Hai Koi; Na Hum Hain Kisi Ke Na Hamara Hai Koi! |
Maine Roka Nahi Woh Chala Bhi Gaya, Bebasi Door Tak Dekhti Reh Gayi! |