Puch Rahi Hain Aaj Mujh Se Meri Shayariyan; Ki Kahan Udd Gaye Wo Parinde Jo Waah Waah Kiya Karte The! |
Ajeeb Kashmkash Mein Hain Aaj Hum, Dil Dhokhe Mein Hai Aur Dhokhebaaz Dil Mein! |
Kuch Bol Ki Ab Khamoshiyan Tadpaane Lagi Hain; Chup Rehne Se Mazbooriyan Yaad Aane Lagi Hain! |
Main Khamoshi Tere Mann Ki, Tu Ankaha Alfaaz Mera; Main Ek Uljha Lamha, Tu Rootha Hua Halaat Mera! |
Teri Aarzoo Mera Khwab Hai, Jiska Raasta Bahut Kharab Hai; Mere Zakham Ka Andaza Na Laga, Dil Ka Har Panna Dard Ki Kitaab Hai! |
Uske Siwa Koi Mere Jazbaat Mein Nahi, Aankhon Mein Jo Nami Hai Wo Barsaat Mein Nahi; Paane Ki Use Koshish Bahut Ki Magar Ai Dosto, Wo Ek Lakeer Hai Jo Mere Haath Mein Nahi! |
Khamosh Reh, Tanha Baith, Yaad Karta Ja Usi Ko, Tum Ne Ishq Kiya Hai, Gunaah Chota Nahi Hai Tera! |
Zalzale Yun Hi Besabab Nahi Aate, Koi Deewana Tah-e-Khaakh Tadapta Hoga! |
Udaas Dil Hai Magar Milte Hain Har Ek Se Hans Kar, Yahi Ek Khel Seekha Hai Bahut Kuch Kho Dene Ke Baad! |
Hum Bane Hi The Tabah Hone Ke Liye, Tera Milna To Bas Ek Bahana Ban Geya! |