Kabhi Alfaaz Bhool Jaun Kabhi Khyaal Bhool Jaun; Tujhe Is Kadar Chahun Ki Apni Saans Bhool Jaun; Uth Kar Tere Paas Se Jo Main Chal Dun; To Jaate Hue Khud Ko Tere Paas Bhool Jaun! |
Do Baatein Unse Kee To Dil Ka Dard Kho Geya; Logon Ne Humse Pucha Ke Tumhein Kya Ho Geya; Bekarar Aankhon Se Sirf Hans Ke Reh Geya; Ye Bhi Na Keh Sake Ki Humein Pyaar Ho Geya! |
Jab Aap Ka Naam Zuban Par Aata Hai; Pata Nahi Dil Kyon Muskurata Hai; Tasalli Hoti Hai Mann Ko Koi To Hai Apna; Jo Hanste Hue Har Waqt Yaad Aata Hai! |
Hue Barbad Magar Phir Bhi Sudhar Na Paye Hum; Phir Wohi Shayari, Phir Wohi Ishq Aur Phir Wohi Tum! |
Chupa Loon Is Tarah Tujhe Apni Baahon Mein, Ki Hawa Bhi Guzarne Kee Izazat Maange; Ho Jaun Itna Madhosh Tere Pyaar Mein, Ki Hosh Bhi Aane Kee Izazat Mange! |
Ik Lafz-e-Mohabbat Ka Adnaa Ye Fasaana Hai; Simte To Dil-e-Aashiq Phaile To Zamaana Hai! |
Har Roz Humein Milna, Har Roz Bichdna Hai; Main Raat Kee Parchai, Tu Subah Ka Chehra Hai! |
Tu Mera Sapna Mera Armaan Hai; Par Shayad Tu Apni Ahmiyat Se Anjaan Hai; Mujhse Kabhi Bhi Ruth Mat Jana; Kyonki Meri Duniya Tere Bina Veeraan Hai! |
Bach Jaye Jawani Mein Jo Duniya Kee Hawa Se; Hota Hai Farishta Koi Insaan Nahi Hota! |
Mat Pucho Ye Ishq Kaisa Hota Hai; Bas Jo Rulata Hai Usi Ko Gale Laga Kar Rone Ka Jee Chahta Hai! |