Aafat To Hai Woh Naaz Bhi Andaz Bhi Lekin; Marta Hun Main Jis Par Woh Ada Aur Hi Kuch Hai! |
Nafrat Bhi Hai Tumse, Mohabbat Bhi Hai Tumse; Par Meri Mohabbat Nafrat Pe Haavi Ho Jati Hai; Tumse Door Jaane Kee Meri Har Koshish; Na Jaane Kyon Mujhe Tere Aur Kareeb Le Aati Hai! |
Pyaar Koi Barish Nahi Jo Barse Aur Tham Jaaye; Pyaar Suraj Bhi Nahi Jo Chamke Aur Doob Jaaye; Pyaar To Naam Hai Saans Ka Jo Chale Toh Zindagi; Aur Agar Ruke Toh Maut Ban Jaaye! |
Pyaar Ke Panno Se Bhari Kitab Ho Tum; Rishton Ke Phulo Mein Ek Gulab Ho Tum; Jo Log Kehte Hain Ki Pyaar Sacha Nahi Hota; Un Logon Ke Har Sawal Ka Jawab Ho Tum! |
Dil Se Teri Nigah Jigar Tak Utar Gayi; Dono Ko Ek Ada Mein Razamand Kar Gayi! Translation: Your glance penetrates the heart to reacdh the soul, Both are left in agreement by such a cohesive gesture. |
Tujhe Chahte Hain Ai Sanam Bas Teri Aarzoo Hai; Tu Zindagi Hai Meri, Tu Meri Har Khushi Hai; Mujhe Duniya Se Garaj Kya Tu Meri Justju Hai; Bas Tere Dam Se Hamdam Meri Duniya Mein Roshni Hai! |
Khamosh Hothhon Ka Agar Ishara Mil Jaaye; In Dilkash Nagmon Ka Sahara Mil Jaaye; Aapki Mast Nazarein Bekaraar Lagti Hain; Dekh Kar Inhe Mujhe Bhi Shayad Koi Sahara Mil Jaaye! |
Meri Har Saans Mein Mehakta Paya Hai Tujhe; Har Sapno Mein Dil Se Mangwaya Hai Tujhe; Phir Kyon Na Karein Tumhein Itni Mohabbat; Jab Khuda Ne Mere Liye Hi Banaya Hai Tujhe! |
Door Kahin Meri Nazron Se Rehti Hai Wo; Har Lamha Mere Khayalon Mein Rehti Hai Wo; Kaisi Hai Wo, Kis Haal Mein Hai Wo; Dil Ke Mere Har Sawaal Mein Rehti Hai Wo! |
Woh Hazar Dushman-e-Jaan Sahi Phir Bhi Mujhe Aziz Hai; Jise Khak-e-Paa Teri Chu Gayi, Woh Bura Bhi Ho To Bura Nahi! |