Tujh Se Ab Aur Mohabbat Nahi Kee Ja Sakti; Khud Ko Itni Bhi Aziyat Nahi Di Ja Sakti; Jante Hain Ki Yakeen Toot Raha Hai Dil Par; Phir Bhi Ab Tark Ye Vehshat Nahi Kee Ja Sakti! Meaning: Aziyat = Trouble |
Yun To Hum Dushmanon Ke Kaafilon Se Sar Utha Kar Guzar Jaate Hain; Khauf To Aksar Apno Kee Galiyon Se Guzarne Mein Lagta Hai! |
Gham-e-Ishq Reh Geya Hai, Gham-e-Justjuu Me Dhalkar; Woh Nazar Se Chipp Gaye Hain Meri Zindagi Badalkar! |
Yeh Ishq Wale Wafa Kee Keemat Kya Jaane; Bewafa Hai Yeh Gham-e-Mohabbat Kya Jaane; Milta Ho Jinhe Har Mod Pe Naya Humsafar; Woh Sachhe Pyaar Kee Keemat Kya Jane! |
Ja Aur Koi Zabt Ki Duniya Talash Kar; Ai Ishq Hum To Ab Tere Kaabil Nahi Rahe! |
Uski Chahat Ne Rulaya Bahut Hai; Uski Yaadon Ne Tadpaya Bahut Hai; Hum Usse Karte Hain Mohabbat Beintehaa; Iss Baat Ko Usne Aazmaya Bahut Hai! |
Zindagi Se Kyon Rooth Gaye Ho Tum; Itne Mayus Kyon Ho Gaye Ho Tum; Zaroor Tumhara Bhi Kisi Ne Dil Toda Hai; Jo Itne Gham-Geen Ho Gaye Ho Tum! |
Tum Mere Liye Ab Koi Ilzam Na Dhoondo; Chaha Tha Tumhein Ek Yahi Ilzam Bahut Hai! |
Khoobsurati Kee Pehchan Banawat Se Nahi Hoti; Mohabbat Kee Pehchan Dhadkano Kee Aahat Se Nahi Hoti; Kaise Samajh Liya Khush Hain Hum Aapke Bagair; Khushiyon Kee Pehchan Sirf Muskurahat Se Nahi Hoti! |
Har Mulaqat Par Waqt Ka Takaza Hua; Har Yaad Par Dil Ka Dard Taza Hua; Suni Thi Sirf Ghazalo Mein Judai Ki Baatein; Jab Khud Par Beeti To Haqeeqat Ka Andaza Hua! |