Kabhi Hum Toote To Kabhi Khwaab Toote; Na Jane Kitne Tukdon Mein Armaan Toote; Har Tukda Aaina Hai Zindgi Ka; Har Aaine Ke Saath Lakhon Jazbaat Toote! |
Dil Ke Dard Ko Chupana Jitna Mushkil Hai; Toot Kar Fir Muskurana Utna Hi Mushkil Hai; Kisi Ke Sath Door Tak Jao Aur Fir Dekho; Ki Akele Laut Kar Aana Kitna Mushkil Hai! |
Bina Bataye Usne Na Jaane Kyon Ye Doori Kardi; Bhichhad Ke Usne Mohabbat Hi Adhuri Kardi; Mere Mukaddar Mein Gham Aaye To Kya Hua; Khuda Ne Uski Khwaish To Poori Kardi! |
Juda Kisi Se Kisi Ka Gharaz Habeeb Na Ho; Ye Dagh Woh Hai Ki Dushman Ko Bhi Naseeb Na Ho! |
Ek Ajeeb Dastan Hai, Mere Afsaane Kee; Maine Pal Pal Kee Kosish, Uske Pass Jaane Kee; Naseeb The Meri Ya, Sazish Zamane Kee; Door Hui Mujhse Utni, Jitni Umeed Thi Kareeb Aane Kee! |
Roz Dhalti Hui Shaam Se Darr Lagta Hai; Ab Mujhe Ishq Ke Anjaam Se Darr Lagta Hai; Jab Se Mila Hai Dhokha Iss Ishq Mein; Tabse Ishq Ke Naam Se Bhi Darr Lagta Hai! |
Dard Kitne Hain Bata Nahi Sakta; Zakhm Kitne Hain Dikha Nahi Sakta; Aankhon Se Samajh Sako To Samajh Lo; Aansu Gire Hain Kitne Gina Nahi Sakta! |
Rahega Ishq Tera Khaak Mein Mila Ke Mujhe; Ki Ibtidaa Mein Hue Ranj Intihaa Ke Mujhe; Diye Hain Hijar Mein Dukh Dard Kis Balaa Ke Mujhe; Shab-e-Firaaq Ne Mara Litaa Litaa Ke Mujhe! |
Tujh Ko Paa Kar Bhi Kabhi To Khona Tha; Ye Hadsa Mere Saath Kabhi To Hona Tha; Wo Tod Kar Aksar Dil Mera Fir Jodta Raha; Jaise Main Uss Ke Haath Ka Koi Khilona Tha! |
Jis Din Meri Arthi Iss Duniya Se Vida Hogi; Ek Alag Sama Hoga Ek Alag Baat Hogi; Kehna Uss Bewafa Se Mar Gaye Tumhare Chahne Wale; Ab Na Hum Hain Aur Na Hamari Batein Hogi! |