Achha Hota Jo Tumse Pyaar Na Hua Hota; Chain Se Rehte Hum Jo Tumhara Deedar Na Hua Hota; Hum Kab Ke Pahunch Chuke Hote Apni Manzil Par; Agar Bewafa Tujh Par Aitbar Na Hua Hota! |
Aata Hai Daag-e-Hasrat-e-Dil Ka Shumar Yaad; Mujh Se Mere Gunnah Ka Hisaab Ai Khudaa Na Maang! |
Saaye Ne Saath Chhod Diya Yaar Ne Dil Tod Diya; Ab Toh Khuda Bhi Mere Khilaf Ho Geya; Jo Pyaar Ka Chirag Jalaya Tha Maine; Usi Chiraag Se Jalkar Mera Ghar Khak Ho Geya! |
Mana Ki Pyaar Kisi Ka Mere Paas Nahi; Magar Tumhein Bhi Mohabbat Ka Ehsaas Nahi; Jaane Pee Gaye Hum Kitne Gham-e-Aansu; Ab Kuch Aur Peene Kee Pyaas Nahi! |
Koi Mila Hi Nahi Jis Ko Wafa Dete; Har Ek Ne Dhokha Diya Kis Kis Ko Saza Dete; Yeh Hamara Zarf Tha Ki Khamosh Rahe Warna; Daastan Sunate To Mehfil Ko Bhi Rula Dete! |
Ajab Rangon Mein Guzri Hai Zindagi Apni; Dilon Pe Raaj Kiya Lekin Mohabbat Se Mehroom Rahe! |
Ab Jis Ke Jee Mein Aaye Wahi Paaye Roshni; Hum Ne To Dil Jalaa Ke Sar-e-Aam Rakh Diya! |
Apno Ne Pyaar Mein Rula Diya; Kya Hua Jo Kisi Aur Ke Liye Hume Bhula Diya; Hum To Waise Bhi Akele The; Kya Hua Jo Aapne Yeh Ehsaas Dila Diya! |
Aaj Bhi Soona Pada Hai Har Ek Manjar; Tere Jaane Se Sab Kuch Veeran Lagta Hai; Uss Raaste Pe Aaj Bhi Hum Teri Raah Dekhte Hain; Jahan Se Tera Laut Aana Aasaan Lagta Hai! |
Lafzon Ke Fasaane Dhoondhte Hain Hum Log; Lamhon Mein Zamane Dhoondhte Hain Hum Log; Tu Zeher Hi De Sharab Keh Kar Saqi; Jeene Ke Bahane Dhoondhte Hain Hum Log! |