Hum Hain Sukhe Hue Talab Pe Baithe Hue Hans; Jo Talluq Ko Nibhate Hue Mar Jate Hain; Ye Mohabbat Kee Kahani Nahi Marti Lekin; Log Kirdar Nibhate Hue Mar Jate Hain! |
Kahan Se Laun Hunar Use Manane Ka; Koi Jawab Nahi Tha Uske Rooth Jane Ka; Mohabbat Mein Saza Mujhe Hi Milni Thi; Kyonki Jurm Maine Kiya Tha Usse Dil Lagane Ka! |
Dard Ke Milne Se Ai Yaar Bura Kyun Mana; Usko Kuch Aur Siwa Deed Ke Manzur Na Tha! |
Bahut Ho Chuka Intezar Unka; Ab Aur Zakham Sahe Jaate Nahi; Kya Bayaan Karein Unke Sitam Ko; Dard Unke Ab Kahe Jaate Nahi! |
Ab To Ghabra Ke Ye Kehte Hain Ki Mar Jayenge; Mar Ke Bhi Chain Na Paya To Kidhar Jayenge! |
Bina Bataye Usne Na Jaane Kyon Yeh Doori Kar Di; Bichhad Ke Usne Mohabbat Hi Adhuri Kar Di; Mere Muqaddar Mein Gum Aaye To Kya Hua; Khuda Ne Uski Khwaish To Puri Kar Di! |
Shehar Mein Lagta Nahin Sahra Mein Ghabrata Hai Dil; Ab Kahan Le Ja Ke Baithein Aise Deewane Ko Hum! |
Agar Yakeen Hota Ki Kehne Se Ruk Jayenge; Toh Hum Bhi Hanskar Unko Pukaar Lete; Magar Naseeb Ko Yeh Manzoor Nahi Tha; Ki Hum Bhi Do Pal Khushi Se Guzar Lete! |
Yeh Kya Ki, Bayaan Sab Se Dil Kee Haaltein Karni; 'Faraz' Tujh Ko Na Aayi Mohabbtein Karni! |
Diya Diye Se Jala Loon To Chain Aaye Mujhe; Tumhein Gale Se Laga Loon To Chain Aaye Mujhe; Mohabbton Ke Saheefay Hain Ya Azaab Koi; Tere Khatoot Jala Loon To Chain Aaye Mujhe! Translation: Saheefay = A written document Azaab = Torture Khatoot = Letters |