Aaya Tha Saath Lekar Teri Yaadon Ka Sahara; Jaa Raha Hu Main Lekar Tere Gum Ka Fasana; Maar Jayenge Hum Tadapkar Teri Bala Se; Na Basa Meri Mohabbat Ka Kahin Aashiyana! |
Tujhse Bichad Kar Kya Hun Main, Ab Bahar Aakar Dekh; Himmat Hai To Meri Haalat, Aankh Mila Kar Dekh; Shaam Hai Gehri, Tez Hawa Hai, Sar Pe Khadi Hai Raat; Raasta Gaye Musafir Ka Ab Diya Jalaa Kar Dekh! |
Majbooriyon Ko Hum Palkon Mein Chhupa Lete Hain; Hum Kahan Rote Hain Bas Yeh Halaat Rula Dete Hain; Hum To Har Pal Yaad Karte Hain Sirf Aapko; Aur Woh Hi Hum Par Yaad Na Karne Ka Ilzam Laga Dete Hain! |
Gairon Pe Khul Na Jaye Kahin Raaz Dekhna; Meri Taraf Bhi Ghamza-e-Ghamaz Dekhna! Meaning: Ghamza-e-Ghamaz = Grief of the Consoler |
Uski Aankhon Mein Koi Dard Basa Hai Shayad; Ya Mujhe Khud Hi Veham Sa Hua Hai Shayad; Maine Pucha Ki Bhool Gaye Ho Kya Tum Bhi; Ponch Kar Aansu Usne Bhi Keh Diya, Haan Shayad! |
Mera Muqaddar Padhane Wale Ne Mujhe Pareshani Mein Daal Diya; Haatho Kee Lakeerein Dekh Kar Bola, Tujhe Maut Nahi Kisi Ki Chaahat Maaregi! |
Zamane Wale Mil Gaye Hain Sabhi Ek Doosre Se; Milkar Sabhi Ne Mujh Akele Ko Mara Hai; Tu Bhi Mat Ho Jana Bewafa Sabhi Kee Tarah; Ai Mere Dost Iss Dil Ko Bas Tera Sahara Hai! |
Rone Kee Saza Na Rulane Kee Saza Hai; Ye Dard Mohabbat Ko Nibhane Kee Saza Hai; Hanste Hain To Aankhon Se Nikal Aate Hain Aansu; Ye Us Shakhs Se Dil Lagane Kee Saza Hai! |
Tamam Umar Jo Kee Humse Be-Rukhi Sab Ne; Kafan Mein Hum Bhi Azizon Se Munh Chhupa Ke Chale! |
Fursat Mili Jab Humko To Tanhai Aa Gayi; Ghum Bhi Aaya Saath Mein Ruswai Aa Gayi; Inn Sab Se Milne Aankhon Se Aansu Bhi Aa Gaye; Jab Yaad Mere Dil Ko Teri Judai Aa Gayi! |