Log Puchte Hain Kyon Surkh Hain Tumhari Aankhein; Hans Ke Keh Deti Hoon Raat Ko So Na Saki; Lakh Chahoon Bhi Magar Yeh Keh Na Sakoon; Raat Ko Rone Ki Hasrat Thi Magar Ro Na Saki! |
Itni Nafrat Hai Use Meri Mohabbat Se; Usne Apne Hath Jala Liye Meri Taqdeer Mitane Ke Liye! |
Yun To Sadmo Mein Bhi Hans Leta Tha Main; Aaj Kyon Bewajah Rone Laga Hun Main; Barson Se Hatheliyan Khali Hi Rahi Meri; Phir Aaj Kyon Lagaa Sab Khone Laga Hun Main! |
Yun Tasalli De Rahe Hain Hum Dil-e-Bimaar Ko; Jis Tarah Thaame Koi Girti Hui Deewar Ko! |
Justaju Khoye Hue Kee Umar Bhar Karte Rahe; Chaand Ke Humraah Hum Har Shab Safar Karte Rahe; Raaston Ka Ilm Tha Na Hum Ko Simton Kee Khabar; Shehar-e-Na-Maaloom Kee Chahat Magar Karte Rahe! |
Zindagi Sirf Issi Dhun Mein Guzare Jayein; Bas Tera Naam, Tera Naam Pukare Jayein; Jab Yeh Tay Hai Ki Yahan Koi Nahin Aayega; Kis Ki Khatir Dar-O-Deewar Sanware Jayein! |
Hum Tere Hijr Mein Andar Se Bikhar Jaate Hain; Zinda Lagte Hain Magar Asal Mein Mar Jaate Hain; Jab Kabhi Bolta Hai Hans Ke Kisi Aur Se Tu; Kitne Khanjar Mere Seene Mein Utar Jaate Hain! |
Khud Hi Badal Jaaoge Tum Ek Din; Kaise Tum Par Aitbaar Hum Kare; Kabhi Sochte Hain Ki Mana Lenge Tumhe; Par Sochte Hain Ki Wo Humpar Aitbaar Kare! |
Woh Bhi Bahut Akela Hai Shayad Meri Tarah; Uss Ko Bhi Koi Chahne Wala Nahi Milaa! |
Dil Se Bhula Diya, Aankhon Se Kabhi Na Girana; Humein Itna Tadpaya Kisi Aur Ko Na Tadpana; Kabhi Mud Ke Dekhoge Un Raahon Pe, Hum Wahi Milenge; Jaha Socha Tha Kabhi Hoga Apna Bhi Ek Aashiyana! |