Dekh Kar Tumhari Hasi, Hum Hosh Apne Gawaan Baithe; Dekh Kar Tumhari Hasi, Hum Hosh Apne Gawaan Baithe; Hosh Mein Aane Ko The, Ki Tum Phir Se Muskura Baithe! |
Apni Surat Ka Kabhi To Didaar De; Tadap Raha Hun Kabhi To Apna Pyaar De; Apni Awaaz Nahi Sunani To Mat Suna; Kam Se Kam 1 Missed Call Hi Maar De! |
Teri Yaad Mein Humne Kalam Uthaayi; Liya Paper Aur Tasveer Aapki Banayi; Socha Tha Ki Usko Dil Se Laga Kar Rakhenge; Magar Vo To Bachchon Ko Draane Ke Kaam Aayi! |
Mere Dost Tum Bhi Likha Karo Shayari; Tumhara Bhi Meri Tarah Naam Ho Jayega; Jab Tum Par Bhi Padenge Ande Aur Tamatar; To Shaam Ki Sabji Ka Intajaam Ho Jayega! |
Chali Jaati Hai Aaye Din Wo Beauty Parlour Mein Yu; Unka Maqsad Hai Misaal-e-Hoor Ho Jana; Magar Ye Baat Kisi Begum Ki Samajh Mein Kyun Nahi Aati; Ki Mumkin Hi Nahi Kishmish Ka Fir Se Angoor Ho Jana! |
Na Jaane Woh Humse Kya Chupaati Thi; Kuch Tha Uske Honthon Par Na Jane Kyu Sharmaati Thi; Jab Humne Muh Khulwake Dekha To Pata Chala; Wo To Tambakoo Khaati Thi! |
Dosti Ke Afsaane Gaaynege Hum; Apni Ik Alag Duniya Basaayenge Hum; Jo Diya Bujh Gaya Dosti Ka Hawaaon Se; To Usko Bech Kar Philips Ka Bulb Le Aayenge Hum! |
Hothon Ko Chhua Usne, Ehsaas Aab Tak Hai; Ankhon Mein Nami, Sanson Mein Aag Aab Tak Hai; Waqt Guzaar Geya, Par Uski Yaad Na Gai; Kya Panipuri Thi Yaar, Swaad Aab Tak Hai! |
Tere Chehre Pe Udaasi Aankhon Mein Nami Hai; Tere Chehre Pe Udaasi Aankhon Mein Nami Hai; Tata Namak Istemaal Kar Bete Tujhme Iodine Ki Kami Hai! |
Dhokha Mila Jab Pyar Main, Zindagi Mein Udaasi Si Chaa Gayi; Socha Tha Chhod Dein Is Raah Ko, Kambhakht Mohalley Mein Dusri Aa Gayi! |