Dekh Mujhe To Tarq-e-Talluq Ke Baawzood; Woh Muskura Diya Ye Hunar Bhi Usi Ka Tha! |
Sab Ki Puja Ek Si, Alag-Alag Hai Reet; Masjid Jaaye Maulavi, Koyal Gaaye Geet! |
Jumhuriyat Ik Tarz-e-Hukumat Hai Ki Jis Mein; Bandon Ko Gina Karte Hain Tola Nahi Karte! Jumhuriyat = Democracy |
Chaaro Taraf Lakadhaare Hain; Fir Bhi Ped Kahan Haare Hain! |
Jin Ke Aangan Mein Ameeri Ka Shajar Lagta Hai; Unn Ka Her Aaib Bhi Zamane Ko Hunar Lagta Hai! Meaning: Shajar: Tree Aaib: Weakness |
Insaan Kehta Hai Ki Paisa Aaye To Main Kuch Karke Dikhaun; Aur Paisa Kehta Hai Ki Tu Kuch Karke Dikhaye To Main Aaun! |
Akelepan Ne Bigaadi Hai Aadatein Meri; Woh Laut Aaye Toh Mumkin Hai Sudhar Jaun Main! |
Nazar Mein Shokhiyan Lab Par Mohabbat Ka Fasaana Hai; Meri Ummeed Ki Zad Mein Abhi Saara Zamaana Hai; Kayi Jeete Hain Dil Ke Desh Par Maloom Hai Mujhko; Sikandar Hoon Mujhe Ik Roz Khaali Haath Jaana Hai! |
Yeh Sahara Jo Na Ho Toh Preshaan Ho Jaaye; Mushkile Jaan Hi Lele Agar Aasan Ho Jaaye; Yeh Kuch Log Farihston Se Bane Firte Hain; Mere Hatthe Kabhi Chad Jaaye To Insaan Ho Jaaye! |
Ek Hi Kahani Hai Tum Ko Jo Sunani Hai; Baat Woh Zara Si Hai Magar Baat Umar Bhar Ki Hai! |