Nashtar Chahe Phool Se Barf Se Mange Khoon; Dhoop Khilaye Chand Ko Andhe Ka Kanoon! |
Log Karte Hain Baatein Apne Logon Se; Main Kis Se Baat Karoon Kahan Se Use Dhoond Ke Laoon! |
Sochta Hun Ke Bujha Dun Main Yeh Kamre Ka Diya; Apne Saaye Ko Bhi Kyon Saath Jagauon Apne! |
Amrit Ras Ki Been Par Zehar Ke Nagme Gaao; Marham Se Muskaan Ke Zaḳhmon Ko Uksao! |
Babu-Giri Karte Ho Gayi Ali Ko Do Saal; Murjhaya Woh Phool Sa Chehra Bhure Paḍ Gaye Baal! |
Dil Humare Ek Hain Ek Hi Hai Humari Jaan, Hindustan Humara Hai Hum Hai Iski Shaan, Jaan Luta Denge Watan Pe Ho Jayenge Qurban, Isliye Hum Kehte Hain Mera Bharat Mahan! |
Kisi Gajre Ki Khushbu Ko Mehakta Chhod Aaya Hun, Meri Nanhi Si Chidiya Ko Chehkta Chhod Aaya Hun; Mujhe Chhati Se Apni Tu Laga Lena Aye Bharat Maa, Main Apni Maa Ki Baahon Ko Tarasta Chhod Aaya Hun! |
Subah Sham Falasteen Mein Khoon Behta Hai; Saya-e-Marg Mein Kab Se Insan Rehta Hai; Band Karo Ye Baroodi Ghuna Gardi; Baad Ye Ab Toh Ek Zamaana Kehta Hai! Falasteen (Palestine) |
Ai Jazbaa, Ai Dil Gar Main Chahoon Har Cheez Muqabil Aa Jaye; Manzil Ke Liye Do Gaam Chalun Aur Saamne Manzil Aa Jaye! |
Kahan Door Hat Ke Jaayein, Hum Dil Ki Sarzameen Se; Dono Jahan Ki Sairein Haasil Hain, Sab Yahin Se! |