Palak Jhapkte Hi Duniya Ujaad Deti Hai Wo Bastiyan, Jinhen Baste Zamane Lagte Hain; 'Faraz' Milte Hain Gham Bhi Naseeb Walon Ko, Har Ek Haath Kahan Yeh Khazane Lagte Hain! |
Jab Zinda The Tab Kadra Na Ki; Ab Mujhe Mere Janaze Par Koi Tamasha Nahi Chahiye! |
Achha To Bahut Gurur Hai Tum Mein, Ise Zara Sambhal Ke Rakho; Aur Mar Jaunga Tumhare Bina Main, Chalo Ye Veham Bhi Paal Ke Rakho! |
Meri Talab Tha Ek Shakhs, Wo Jo Nahi Mila Toh Phir; Haath Dua Se Yun Gira, Bhool Gaya Sawaal Bhi! |
Kuch Is Adaa Se Nibhana Hai Kirdaar Mera Mujhko; Jinhen Mohabbat Na Ho Mujhse Woh Nafrat Bhi Na Kar Sake! |
Dekhi Jo Meri Nabz Toh Ek Lamha Soch Kar; Kagaz Liya Aur Ishq Ka Beemar Likh Diya! |
Ek Talwar Ki Keemat Hoti Hai Uski Dhaar Se, Insaan Ki Keemat Hoti Hai Uske Vyavhaar Se! |
Khatam Karo Mayusi Aur Sab Nafratein; Dil Rabb Ka Ghar Koi Asthaan Ya Koi Iblees Nahi! |
Kamaal Ka Tana Deti Hai Ye Duniya; Agar Woh Tera Hai To Tere Paas Kyon Nahi! |
Chidiya Ne Ud Kar Kaha Mera Hai Akash; Bola Shikra Daal Se Yunhi Hota Kaash! |