Yeh Jism Bhi Kya Cheez Hai; Arzoo Kisiki Aur Bandgi Kisiki! |
Jis Din Se Chala Hu Meri Manzil Pe Nazar Hai; Aankho Ne Kabhi 'Mile' Ka Patthar Nahi Dekha! |
Hai Mushtamil Numood-e-Suvar Par Wijood-e-Bahr; Yan Kya Dhara Hai Qatra-o-Mauj-o-Hubab Mein! Translation: What appears as confirmation of the Ocean's actuality, Is it merely a sum total of wave, drop, phosphorescence. |
Utna Hi Mujhko Apni Haqeeqat Se Bood Hai; Jitna Ki Vahm-e-Ghair Se Hoon Pech-o-Taab Mein! Translation: I am equidistanced from my own reality, In proportion to the illusion of otherness. |
Aansu Na Hote To Aankh Itni Khoobsurat Na Hoti; Dard Na Hota To Khushiyon Kee Keemat Na Hoti; Poori Karta Rabb Yun Hi Sab Muradein; To Ibadat Kee Kabhi Zaroorat Na Hoti! |
Rau Mein Hai Rakhsh-e-Umr Kahan Dekhiye Thamey; Na Haath Baag Par Hai Na Pa Hai Rakab Mein! Translation: The horseman of life speeds by, where can it be stopped, There are no hands on the reins, no feet in the stirrups. |
Jaan Kyon Nikalne Lagi Hai Tan Se Dam-e-Sama; Gar Woh Sada Samaai Hai Chang-o-Rabab Mein! Translation: Listening, why does a soul struggle to leave its body, If the divine voice resides in the instruments before us. |
Hain Aaj Kyon Zaleel Ke Kal Tak Na Thi Pasand; Gustakhi-e-Farishta Hamare Janab Mein! Translation: Why today so disgraced, when yesterday was impermissible. An angel's arrogant refusal to bow for me. |
Ret Par Thak Ke Gira Hun To Hawa Puchti Hai; Aap Iss Dasht Mein Kyon Aaye The Vahshat Ke Bagair! |
Andhere Charon Taraf Taraf Sayein Sayein Karne Lage; Chirag Haath Utha Kar Duayein Karne Lage; Taraqi Kar Gaye Bimariyon Ke Saudagar; Yeh Sab Mariz Hain Jo Ab Dawayein Karne Lage! |