Hairat Hai Tumko Dekh Ke Masjid Mein Ai 'Khumar'; Kya Baat Ho Gayi Jo Khuda Yaad Aa Geya! |
Shaam Suraj Ko Dhalna Sikhaati Hai; Shama Parwaane Ko Jalna Sikhaati Hai; Girne Waale Ko Takleef To Hoti Hai Magar; Thokar Hi Insaan Ko Chalna Sikhaati Hai! |
Hum Cheen Lenge Tum Se Ye Shan-e-Beniazi; Tum Maangte Phiro Ge Apna Ghuroor Hum Se! |
Woh Chahta Tha Ki Kasa Khareed Le Mera; Main Uske Taj Kee Keemat Laga Ke Laut Aaya! Meaning: Kasa = Bowl, Goblet |
Aa Ki Tujh Bin Iss Tarah, Ai Dost Ghabrata Hun Main; Jaise Har Shai Mein Kisi Shai Kee Kami Paata Hun Main! |
Doston Ke Iss Qadar Sadme Uthaye Jaan Par; Dil Se Dushman Kee Adawat Ka Gila Jata Raha! Meaning: Adawat = Enmity, Hatred |
Jeete Jee Hum To Gham-e-Farda Kee Dhun Mein Mar Gaye; Kuch Wahi Achhhe Hain Jo Waqif Nahi Anjam Se! Translation: Gham-e-Farda = Tomorrow's Sorrow |
Abhi Zinda Hun Lekin Sochta Rehta Hun Khalwat Mein; Ki Ab Tak Kis Tamanna Ke Sahaare Jee Liya Maine! Meaning: Khalwat = Privacy |
Yaqeen Mohkam, Amal Peham, Mohabbat Faateh-e-Alam; Jahad-E-Zindagani Mein Hain Ye Mardon Ki Shamsheerain! Translation: Firm certainty, eternal action, the love that conquers the world, These are the swords of men in the holy war of life! |
Naya Ek Rabt Paida Kyon Karen Hum; Bichadna Hai To Jhagda Kyon Karen Hum! Translation: Rabt = Relation |