Duniya Ne Kis Ka Rah-e-Wafa Mein Diya Hai Sath; Tum Bhi Chale-Chalo Yun Hi Jab Tak Chali Chale! |
Sab Fasane Hain Duniya Daari Ke; Kis Ne Kis Ka Sukoon Loota Hai; Sach To Yeh Hai Ki Iss Zamane Mein; Main Bhi Jhootha Hun Tu Bhi Jhootha Hai! |
Woh Aa Rahe Hain Woh Aate Hain Aa Rahe Honge; Shab-e-Firaq Yeh Keh Kar Guzaar Di Hum Ne! |
Tum Bhi Ho Beete Hue Waqt Kee Tarah Hu-Bahuu; Tum Ne Bhi Yaad Aana Hai, Khud Aana To Hai Nahi! |
Tum Takalluf Ko Bhi Ikhlaas Samajhte Ho 'Faraz'; Dost Hota Nahin Har Haath Milane Wala! |
Manzil To Mil Hi Jayegi Bhatak Kar Hi Sahi; Gumraah To Woh Hain Jo Ghar Se Nikle Hi Nahi! |
Kyun Judta Hai Tu Iss Jahan Se, Ek Din Yeh Guzar Hi Jayega; Chahe Kitna Bhi Samet Le Jahan, Mutthi Se Fisal Hi Jayega! |
Dil Se Jo Baat Nikalti Hai Asar Rakhti Hai; Par Nahin Taqat-e-Parvaz Magar Rakhti Hai! |
Suna Hai Gusse Mein Woh Sab Tod Deta Hai; Mera Dil Hai Uske Pass Khudaa Khair Kare! |
Manzilon Ke Gham Mein Rone Se Manzilein Nahin Milti; Haunsle Bhi Toot Jaate Hain Aksar Udaas Rehne Se! |