Ujaad Di Hai Ajab Zalzalon Ne Yeh Basti; Makeen Talash Karoon Ya Makaan Talash Karoon! Translation: Makeen= Residents |
Ghairon Mein Hain Jo Shaad Unhein Eid Mubarak; Jinko Nahin Hum Yaad Unhein Eid Mubarak; Masoom Se Armaanon Kee Masoom Si Duniya; Jo Kar Gaye Barbaad Unhein Eid Mubarak! |
Pucho To Ek Ek Hai Tanhaa Sulag Raha; Dekho To Shehar Shehar Hai Mela Laga Hua! |
Kya Sirf Musaan Ke Pyare Hain Hussain; Chiraag-e-Noh Bashar Ke Tarey Hain Hussain; Insaan Ko Baidaar To Ho Lene Do Zara Tum; Har Kaum Pukare Gi Hamare Hain Hussain! |
Khawab, Khayal, Haqeeqat, Yaqeen, Gham Aur Khushiyaan; Zara Si To Umar Hai Meri, Bhala Kis Kis Ke Saath Guzarunga! |
Khwabon Ke Andar Zinda Mat Raho; Balki Apne Andar Khwabon Ko Zinda Rakho; Mohabbat Usse Nahin Hoti Hai Jo Khoobsurat Ho; Khoobsurat To Wo Hota Hai Jisse Mohabbat Hoti Hai! |
Ustaad Kyon Roya Thaa Kin Halaat Ka Maara Tha; Bachon Ko Sikhaaya Jo Mohabbat Kaise Likhte Hain! |
Main Nahin Maanta Kagaz Pe Likha Shajra-e-Nassb; Baat Karne Se Qabeele Ka Pata Chalta Hai! Translation: Shajra-e-Nassb = Family Tree |
Thake Hue Hain Sabhi Paimal Raho Par; Kahi Se Dhoond Kar Phir Taza Rah Guzar Lana! |
Yeh Bhi Sach Hai Koi Ulfat Mein Pareshan Kyun Ho; Yeh Bhi Sach Hai Koi Kyun Kar Na Pareshan Ho Jaye! |