Ho Na Ho Yeh Koi Sach Bolney Wala Hai Qateel; Jis Ke Hathon Mein Kalam, Paon Mein Zanjeerein Hain! |
Bura Samjhu Unhein Mujhse To Aisa Ho Nahi Sakta; Ki Main Khud Bhi To Hoon 'Iqbal' Apne Nukta-Cheeno Mein! |
Ab Zara Tafseel Se Aye Qaasid-e-Khush'ruu Bata; Pehle Us Ne Kya Kaha, Phir Kya Kaha, Phir Kya Kaha! Translation: Qaasid = Postman |
Kitaab-e-Zeest Ka Ek Aur Baab Hatam Hua; Shabaab Hatam Hua, Azaab Hatam Hua! |
Mujhe Yaqeen Hai Ki Tum Munfarid Ho Auron Se; Tumhein Ghumaan Hai Ki Shayad Main Auron Jaisa Hoon! |
Rahiye Ab Aisi Jagha Chal Kar Jahan Koi Na Ho; Hum-Sukhan Koi Na Ho, Aur Hum-Zubaan Koi Na Ho; Parriye Gar Beemar To Koi Na Ho Teemar'daaar; Aur Agar Mar Jaayiye To Noha-Khuwaa'n Koi Na Ho! Translation: Teemar'daaar = Caretaker Noha-Khuwaa'n = Reciter |
Shaam-e-Wada Sahi, Dukh Zyada Hi Sahi, Phir Bhi Dekho 'Faraz'; Aaj Shab, Us Ki Furqat Mein Keh Lo Ghazal, Kal Usay Dekhna! |
Main Thak Geya Hu Bahut Shaayadaar Pedon Se; Zara Si Dhoop Bichhakar Qayaam Karta Hu! |
Badal Dena Hai Raasta Ya Kahin Par Baith Jana Hai; Ki Thaktaa Ja Raha Hai Humsafar Ahistaa Ahistaa! |
Iss Daur Ka Ek Bada Fasaadi Hoon Main; Jo Sach Lage Bas Wohi Keh Deta Hoon Main! |