Dil Ko Uss Raah Par Chalana Hi Nahi; Jo Mujhe Tujh Se Juda Kar De! |
Teri Gali Mein Main Na Chalun Aur Saba Chale; Yun Hi Khuda Jo Chahe To Bande Kee Kya Chale; Kis Kee Ye Mauj-e-Husan Hui Jalvagar Ki Yun; Dariya Mein Jo Habab The Aankhein Chuppa Chale! |
Barbaad Kar Gaye Wo Zindagi Pyaar Ke Naam Se; Bewafai Hi Mili Sirf Wafa Ke Naam Se; Zakham Hi Zakham Diye Uss Ne Dawa Ke Naam Se; Aasman Bhi Ro Pada Meri Mohabbat Ke Anjam Se! |
Hum Tere Hijr Mein Andar Se Bikhar Jate Hain; Zinda Lagte Hain Magar Asal Mein Mar Jate Hain; Jab Kabhi Bolta Hai Hans Ke Kisi Aur Se Tu; Kitne Khanjar Mere Seene Mein Utar Jate Hain! |
Dushman Ho Toh Ishq Jaisa; Seedha Dil Per Hi Vaar Kare! |
Darpok Hain Woh Log, Jo Pyaar Nahi Karte; Yeh Sach Hai Barbad Hone Ke Liye Bhi Jigar Chahiye! |
Barish Hui To Phoolon Ke Tan Chaak Ho Gaye; Mausam Ke Haath Bheeg Ke Saffak Ho Gaye; Baadal Ko Kya Khabar Hai Ki Barish Ki Chaah Mein; Kaise Buland-o-Baala Shajar Khaak Ho Gaye! |
Zikr Uska Hi Sahi Bazm Mein Baitho To Faraz; Dard Kaisa Hi Uthe Haath Na Dil Pe Rakhna! |
Dil Na-Umeed To Nahi, Nakaam Hi To Hai; Lambi Hai Gham Ki Shaam, Magar Shaam Hi To Hai! |
Marne Ke Baad Bhi Meri Aankhein Khuli Rahi; Aadat Jo Padd Gayi Thi Tere Intezar Ki! |