Aafat To Hai Woh Naaz Bhi Andaz Bhi Lekin; Marta Hun Main Jis Par Woh Ada Aur Hi Kuch Hai! |
Vaade Pe Woh Mere Aitbaar Nahi Karte; Hum Zikar Mohabbat Ka Sare Bazaar Nahi Karte; Darta Hai Dil Unki Ruswai Se; Aur Woh Sochte Hain Ki Hum Unse Pyaar Nahi Karte! |
Kabhi Yeh Dua Ki Usse Mile Jahaan Ki Khushiyan; Kabhi Ye Khauf Ki Wo Khush Mere Bagair Toh Nahi! |
Dene Wale Ne Diya Sab Kuchh Ajab Andaaz Se; Saamne Duniya Padi Hai Aur Utha Sakte Nahi! |
Dil Ke Rishton Ki Nazakat Woh Kya Jaane; Naram Lafzon Se Bhi Lag Jati Hai Chotein Aksar! |
Chhup Ke Rehna Hai Jo Sab Se To Ye Mushkil Kya Hai; Tum Mere Dil Mein Raho Dil Ki Tamanna Ho Kar! |
Jiska Tum Puchte Ho Wo Mar Geya Shakhs; Usko Kisi Ki Yaad Ne Zinda Jala Diya! |
Aankh Ladate Hi Hua Ishq Ka Aazaar Mujhe; Chashm Beemaar Teri Kar Gayi Beemaar Mujhe; Dil Ko Zakhmi To Vah Karte Hain Magar Hairat Hai; Nazar Aati Nahi Chalti Hui Talwar Mujhe! |
Wo Dushmani Se Dekhte Hain Dekhte To Hain; Main Shaad Hi sahi, Hoon To Kisi Ki Nigaah Mein! Shaad = Delighted/Cheerful |
Wohi Wehshat, Wohi Hairat, Wohi Tanhai Hai 'Mohsin'; Teri Aankhein Mere Khwabon Se Kitni Milti Julti Hain! |