Ungliyan Toot Gayi Patthar Tarashte Tarashte; Aur Jab Bani Surat-e-Yaar Toh Kharidaar Aa Gaye! |
Khusro Dariya Prem Ka, Ulti Wa Ki Dhaar; Jo Utra So Doob Geya, Jo Dooba So Paar! |
Andhera Bahut Ab Suraj Nikalna Chahiye; Jaise Bhi Ho Yeh Mausam Badalna Chahiye; Aur Jo Chehre Roz Badalte Hai Naqabo Ki Tarah; Ab Janaza Dhoom Se Unka Nikalna Chahiye! |
Jee Kee Jee Hi Mein Rahi Baat Na Hone Payi; Haif Ki Us Se Mulaqat Na Hone Payi! |
Meri Neendein Udaane Wale; Ab Tere Khawab Kaun Dekhega! |
Aafat To Hai Woh Naaz Bhi, Andaz Bhi Lekin; Marta Hun Main Jis Par, Woh Ada Aur Hi Kuch Hai! |
Chandni Raat Badi Der Ke Baad Aayi; Yeh Mulaqat Badi Der Ke Baad Aayi; Aaj Aaye Hain Woh Milne Ko Badi Der Ke Baad; Aaj Kee Raat Badi Der Ke Baad Aayi! |
Zubaan Mili Hai Magar; Humzubaan Nahi Milta! |
Pyaar Aur Mohabbat Uss Daur Ki Baat Hai; Jab Makaan Kachhe Aur Log Sachhe Hua Karte The! |
Pyaar Bhi Karna, Zamane Se Bhi Ghabrana Bahut; Aayinon Ka Ghar Banana Aur Patharon Jaise Sochna! |