Humse Khelti Rahi Duniya Taash Ke Patton Ki Tarah; Jisne Jeeta Usne Bhi Phenka, Jisne Haara Usne Bhi Phenka! |
Kaash Yeh Sapna Bhi Pura Ho Jaye; Hum Bhi Kisi Ke Sapno Mein Aa Jayein; Ho Hamara Bhi Zikar Unke Laboon Par; Hum Bhi Unke Dil Mein Bas Jayein! |
Dil Ki Khwahish Ko Naam Kya Doon; Pyaar Ka Usse Paigam Kya Doon; Is Dil Mein Dard Nahi Yaadein Hai Uski; Ab Yaadein Hi Mujhe Dard De Toh Usse Ilzam Kya Doon! |
Yaad Karte Hain Tumhein Tanhai Mein; Dil Dooba Hai Ghamoon Ki Gehrai Mein; Humein Mat Dhundna Duniya Ki Bheed Mein; Hum Milenge Tumhein Tumhari Hi Parchai Mein! |
Saza Humein Yeh Kaisi Mili Dil Lagane Ki; Ro Rahe Magar Tamanna Thi Muskurane Ki; Apna Dard Kise Dikhau Aye Dost; Dard Bhi Ussne Diya Jo Wajah Thi Muskurane Ki! |
Chehre Ki Hansi Se Har Gham Chupao; Bahut Kuch Bolo Par Kuch Na Batao; Khud Na Rutho Kabhi Par Sabko Manao; Yeh Raaz Hai Zindagi Ka, Bas Jeete Jao! |
Mujhe Chhodkar Woh Khush Hai To Shikayat Kaisi; Ab Main Unhe Kush Bhi Na Dekhu Toh Mohabbat Kaisi! |
Rah Pe Nikle The Yeh Soch Kar Kisi Ko Bana Lenge Apna; Magar Iss Khawish Ne Zindagi Bhar Ka Musafir Bana Diya! |
Keh Do Usse Judaai Aziz Hai Toh Rooth Jaaein; Woh Jee Sakta Hain Toh Hum Mar Bhi Sakte Hain! |
Hum To Tere Dil Ki Mehfil Sajane Aaye The; Teri Kasam Tujhe Apna Banane Aaye The; Kis Baat Ki Saza Di Tumne Humko; Bewafa Hum To Tere Dard Ko Apnane Aaye The! |